WHATSAPP

How to Lock Particular Chat in WhatsApp | Whatsapp Latest Trick & Settings

How to lock particular chat in whatsapp yani ki whatapp par aap kisi bhi contact ki chat ko kaise lock kar sakte ho aaj ki iss post me mein aapko bataunga. To agar aapka koi aisa friend hai ya girlfriend hai jiski chat ko aap nahi chahte hai ki koi aur padhe to aap uspar lock laga sakte hai. Aur uss particular chat ko aap more secure bana sakte hai.

Agar aapke mobile phone ko koi aur kuch der ke liye leta hai aur chupke se aapka whatsapp open karke uski chat ko read karne ki koshish karta hai to aise me aap kisi bhi chat par lock lagakar usse secure kar sakte hai. Iske baad koi bhi uss chat ko open karta hai to uske liye usse password enter karna hoga tabhi uss chat ko open kar sakta hai.

Aur password to sirf aapko hi pata hoga isliye aapke alawa koi or uss chat ko open nahi kar payega. To agar aap bhi apne whatsapp account me ye setting karna chahte hai to niche diye easy steps ko follow kare aur janiye ki kisi bhi chat par lock kaise lagate hai.

How to Lock Particular Chat in WhatsApp Whatsapp Latest Trick & Settings

Step 1

Sabse pehle Google Playstore open kare aur Locker for Whats Chat App – Secure Private Chat app ko install kare.

Step 2

Install karne ke baad aapke samne password set karne ka option aayega to yahapar aapko pehle password set karna hai.

Step 3

Iske baad jo next interface open hoga isme aapko apni ek Email id enter karni hai aur save kar dena hai. Agar aap apna password bhool jate hai to iss email ke through recover kar sakte hai.

Step 4

Ab ek popup open hoga jisme aapke phone ki accessibility permission mangi jayegi to aapko isse Enable kar dena hai.

Step 5

Ab jo next page open hoga isme aap apne phone ki accessibility settings me pahuch jayenge to yahapar aapko thoda sa niche ki taraf scroll karna hai. Aur Locker for whats chat app ke option par click karke isse enable kar dena hai.

Step 6

Iske baad jo next interface open hoga isme aapko bottom right side me plus (+) ke icon par click karna hai.

Step 7

Ab aap apne whatsapp chat list me pahuch jayenge to yahapar uss chat ko select kare jispar aap lock lagana chahte hai.

Jaise hi aap whatsapp chat select karenge vo chat iss app me add ho jayegi. Aur iske baad jab bhi aap uss chat ko open karenge to aapse password pucha jayega. Aur jab aap password enter karenge tabhi vo chat open hogi.

To iss tarah se aap kisi bhi whatsapp chat par lock laga sakte hai aur usse password protected kar sakte hai.

I hope, how to lock particular chat in WhatsApp ye aap samajh hi gaye honge. Agar aapka koi saval ya sujhav hai to niche comment box me puch sakte hai aur agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.