INSTAGRAM

Instagram Reels Me Duet Video Kaise Banaye – How to Create Duet or Remix Video in Instagram Reels

How to create duet or remix video in instagram reels yani ki instagram reels me duet video kaise banaye iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aap instagram ka reels feature use karte hai aur kisi other user ki video ke sath duet karna chahte hai aur nahi janate ki instagram reels me remix video kaise create karte hai to iss post ko end tak jarur padhe.

Jiss tarah se users tiktok par duet videos banate they, kisi or ki videos ke sath apni video record karke tiktok par upload karte they, thik ussi tarah se aap instagram reels me bhi duet video create kar sakte hai, aur apni insta reels me publish kar sakte hai, iske liye bus aapko niche diye gaye easy steps ko sahi se follow karna hai.

Instagram Reels Me Duet Video Kaise Banaye – How to Create Duet or Remix Video in Instagram Reels

Instagram reels me aap har kisi user ki videos ke sath duet video nahi bana sakte hai, sirf unhi users ki video ke sath bana sakte hai jinhone Instagram setting > Privacy > Reels > Enable remixing option ko enable kiya hoga.

Jis user ne enable remixing option ko disable kiya hoga uski video ke sath aap duet nahi kar sakte hai, chaliye ab step by step janate hai ki instagram reels me duet video kaise create karte hai.

1 Sabse pehle Instagram open kare

2 Iske baad Reels feature par click kare.

3 Ab jiss user ki video ke sath duet karna hai uski Video ke bottom right corner me 3 dots par click kare.

4 Iske baad kuch options aayenge to inme Remix this reels option par click kare.

5 Ab remix video create karne ka option aayega to yahapar Circle icon par click karke apni video record kare.

6 Iske baad kuch hi der me aapki remix video create ho jayegi to yahapar bottom right corner me Aero icon par click kare.

7 Ab next interface me caption add kar sakte hai otherwise Share option par click kar dijiye.

Iss tarah se aap easily instagram reels me kisi bhi user ki video ke sath duet or remix video create kar sakte hai aur instagram reels me publish kar sakte hai.

I hope, instagram reels me duet or remix video kaise banate hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Instagram Reels Me Duet Video Kaise Banaye – How to Create Duet or Remix Video in Instagram Reels

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.