Facebook story me mp3 song kaise lagaye aaj ki iss post me mein aapko bataunga, so agar aap facebook par regular story update karte hai aur apni fb story me music add karna chahte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.
Facebook story par koi bhi mp3 gana add karna bahut hi simple hai aur yahapar mein aapko fb story pe audio add karne ke do methods batane wala hu jiske through aap easily apni story me apni pasand ka koi bhi gana add kar sakte hai, puri jankari ke liye niche diye steps follow kare.
Facebook Story Me Mp3 Song Kaise Lagaye – How to Add Music on FB Story
Method 1
1 Sabse pehle Facebook app open kare.
2 Ab top left hand side me Create a story option par click kare.
3 Iske baad apni Mobile gallery se koi Photo or Video select kare.
4 Ab top right corner me Sticker icon par click kare.
5 Iske baad kuch options aayenge to yahapar Music option ko select kare.
6 Ab next interface me alag alag mp3 songs ki list aayegi to yaha se apne according koi bhi Mp3 audio song select kare.
7 Mp3 gana select karne ke baad top right corner me Done option par click kare.
8 Iske baad next interface me bottom right corner me Share to story option par click kar dijiye.
Method 2
1 Iske liye bhi aapko Facebook open karke Create a story option par click karna hai.
2 Ab top side me Music option par click kare.
3 Iske baad next interface me Mp3 songs ki list aayegi to yaha se koi bhi Mp3 Song select kare.
4 Ab top right side me Done option par click kare.
5 Iske baad mobile gallery open hogi to yaha se apni koi bhi Photo select kare.
6 Ab next interface me finally Share to story option par click kar dijiye.
To iss tarah in dono hi methods ke through aap apni facebook story par mp3 music add kar sakte hai aur facebook par publicly share kar sakte hai.
I hope facebook story me mp3 song kaise lagate hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
View Comments (1)
Rohil