X
    Categories: WORDPRESS

Gravatar Par Account Kaise Banaye WordPress Blog Ke Liye

Agar aapka wordpress par blog hai to apna profile photo show karne ke liye aapko gravatar par account banana padega, isliye aaj me aapko batauga ki wordpress blog ke liye gravatar par account kaise banaye.

Gravatar me account banane ke baad jab bhi aap post me comments karenge to aapki photo bhi show hogi, aur isse aapke liye logo me vishwas bhi badhta hai.

 

 

Gravatar Kya Hai

Globally Recoganized Avatar, yani ki gravatar humari internet par vo image hoti hai, jo hume online wordpress platform par represent karti hai. Jis tarah se facebook ya twitter me profile picture se humari pehchan hoti hai, ussi tarah se wordpress par gravatar ka use hota hai.

Gravatar par ek bar account create karne ke baad jab bhi hum kisi gravatar enabled site par participate karte hai, to usme humari gravatar image bhi show hoti hai. Jaise ki hum agar kisi wordpress blog par commenting karte hai to comment ke sath humari gravatar image bhi show hoti hai.

 

 

WordPress Blog Ke Liye Gravatar Par Account Kaise Banaye

Website owners, web developers aur users ke liye ye ek free service hai, to chaliye janate hai ki gravatar par account kaise banaye.

 

Step 1

Sabse pehle gravatar site me jaye, aur Create Your Own Gravatar button par click kare.

 

 

Step 2

Ab ek form open hoga,

  1. Agar pehle se wordpress account hai to iss linke par click kar sakte hai.
  2. Email address enter kare.
  3. Username set kare.
  4. Password set kare.
  5. Sign up button par click kare.

 

Step 3

Ab aapki email id par ek link bheja jayega, apne inbox me email open kare aur iss link par click kare.

Link par click karte hi aapka gravatar account create ho jayega, ab aapko isme apni photo ko upload karna hai.

 

 

Gravatar Me Apni Photo Upload Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle gravatar.com site me login kare, aur add a new image par click kare.

Yaha par aapko 4 option milte hai, apni gravatar image set karne ke liye.

  1. Upload new par click karke apni computer gallery se photo select kar sakte hai.
  2. From URL pehle se blog me add image ka url enter karke apni image add kare.
  3. Past uploads agar pehle gravatar par photo upload ki hai to usse select kare.
  4. From webcam agar aap webcam ka use karte ho to iss option ka use karke direct apni photo upload kare.

 

 

Step 2

Ab next window me apni profile ki setting kare.

  1. My profile tab par click kare.
  2. Apna first aur last name enter kare.
  3. Apna pura name likhe.
  4. Blog post aur author comment me jo name show karna hai, usse enter kare.
  5. Location (india) select kare.
  6. Apne bare me 2-3 lines me detail likhe.
  7. Save profile button par click kare.

 

Lijiye ab aapne gravatar me account bana liye hai aur usme apni photo bhi upload kar chuke ho. Abse aap kisi blog post me comment karenge to comment ke sath aapki image bhi show hogi.

Dosto ummeed hai aapko ye jaankari pasand aayi hogi, agar aapka koi saval hoto apne comment ke dwara jarur puche.

Agar post acchi lagi hoto isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More