GOOGLE

Google Search Console Me Blog or Website Submit Kaise Kare

Google search console me blog or website submit kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Duniya bhar me jyadatar log apne doubts ka solution search karne liye google search ka use karte hai. Aur google bhi logo ki search request se related result ko unke samne show karta hai.

Aur google jo result users ke samne dikhata hai vo kisi na kisi website owner ya fir bloggers ki websites ke link hote hai. Isliye agar aapki website hai ya fir aap ek blogger hai to aapko apni site ki link ko google me submit jarur karna chahiye. Kyuki aisa karne se aap apni site post ko google search me la sakte hai.

Aur google search me apni blog post ko rank karne ke liye aapko google webmaster tools ki help leni hogi. Agar aap apni sabhi post ko google search console me submit karte hai. To aapki site kisearch rank better hogi Aur jab bhi koi visitor google par aapki post se related keyword search karega to aapki site ke link google search me show honge.

Search console me apni site ko add kiye bina aap apne blog ko google search me rank nahi kara sakte hai. Isliye iss post me mein aapko batane wala hu ki google webmaster tools me apni site ko submit kaise karte hai. To agar aapne abhi tak apne blog ya website ko google webmaster tool me submit nahi kiya hai. To niche diye steps ko follow karke aap jaldi se apni site ko submit kar lijiye.

Google Search Console Me Blog or Website Submit Kaise Kare

Apni site ko google search me top rank me lane ke liye google webmaster tool yani google search console me apni website ko submit karna bahut hi simple hai. Iske liye bus aapko niche diye gaye easy steps ko follow karna hai aur aapki site search console me add ho jayegi.

Step 1

Iske liye sabse pehle aapko google search console me account banana hai. To iske liye Google webmaster tool ko open kare aur Start Now ke button par click kare.

 

Step 2

Ab apne google account se aapko yahapar login karna hai to jiss google account se aapko google search console me account create karna hai usse select kare. Aur apna username aur password dalkar isse open kare.

Step 3

Google account se login karne ke baad aapke samne jo next page open hoga usme aapko bottom side me scroll karna hai. Aur yahapar aapko Gog to google search console ke option par click karna hai.

Step 4

Ab aapke samne kuch iss tarah ka interface open hoga yahapar aapko apni web property select karne do option milenge to inme se aap koi bhi choose kar sakte hai. Maine 2nd choose kiya hai agar aap bhi isse choose karte hai to yahapar aapko apne domain URL ko enter karna hai.

Step 5

Ab ek popup window open hogi isme aapko google search console me website add karne ke kuch option milenge. To aap yahapar koi bhi option choose kar sakte hai.

  1.  Thoda sa niche scroll karenge to yahapar aapko HTML tag ka option show hoga to aapko iss option par click karna hai.
  2. Ab aapko ek meta tag code show hoga to aapko iss code ko copy karna hai.

Step 6

Iske baad ab aapko apne site dashboard me login karna hai, agar wordpress par aapka blog hai to isme login kare.

  1. Left side menu me Appearance par click kare.
  2. Theme Editor ke option par click kare.

Step 8

Theme editor me aapko right side menu me Theme header ke option par click karna hai.

Step 9

Iske baad aapki site ka theme editor section open ho jayega, to yahapar aapko niche diye steps follow karne hai.

  1. Ctrl + F key press kare aur <head> code search kare.
  2. Head code ke thik niche google search console se copied code paste kare.

Step 10

Code paste karne ke baad ab aapko wapas google search console me me page par aaye aur Verify ke button par click kare.

 

Jaise hi aap verify par click karenge ek popup open hoga jisme ye confirmation hogi ki aapke site se google search console connect ho gaya hai. Iske baad aap apni web property par jakar iski other settings kar sakte hai aur apni har ek post ko fetch as google feature ki help se google par rank karwa sakte hai.

So friends google search console yani google webmaster tool me apni website ko submit kaise karte hai. Aapko ye jankari helpful lagi hoti, aur agar aapko ye jankari pasand aayi hai to isse apne friends ke sath social sites par share jarue kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *