Google Photos All Data Download Kaise Kare – How to Download All Data from Google Photos
How to download all data from google photos yani ki google photos all data download kaise kare agar aap nahi janate hai to iss post me mein aapko yahi batane wala hu, isliye agar aap janana chahte hai ki google photos ke sabhi data ko mobile gallery me download kaise karte hai to iss post ko dhyan se padhel.
Google photos me aisa koi option nahi hai jiske through aap apni sabhi photos or videos ko select karke download kar sake, sirf one by one karke hi aap apni photos aur videos ko download kar sakte hai lekin iss post me jo trick mein aapko batane wala hu uske through aap apne google photos account ki sabhi phtos aur videos ko apni mobile gallery me download kar sakte hai.
Google photos ke all data ko apni mobile gallery me donload karne ke liye aapko kya karna hai kaise aap apni sabhi photos aur videos apni gallery me save kar sakte hai iski puri jankari ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.
Google Photos All Data Download Kaise Kare – How to Download All Data from Google Photos
1 Sabse pehle Google photos open kare.
2 Ab top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Iske baad ek popup window open hogi to isme Manage your google account option par click kare.
4 Ab next interface me Data and privacy tab par click kare.
5 Iske baad niche ki taraf scroll kare aur Download your data option par click kare.
6 Ab next interface me google ke sabhi products selected honge to Deselect all option par click karke sabhi ko pehle unselect kare aur sirf Google photos ko hi select karke bottom side me Next step button par click kare
7 Iske baad aapko next interface me file type aur size apne according set kar sakte hai, finally bottom site me Create export option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapke google photos account ka all data export hona start ho jayega is process me thoda time lag sakta hai, ye aapke google photos par depend karta hai jitna bada aapka data hoga time bhi utna jyada lagega.
Google photos ka all data jab extract ho jayega to aapki gmail id par ek mail aayega jisme aapke google photos ke all data ko download karne link hoga jispar click karke aap all data download kar sakte hai.
I hope google photos ki sabhi photo video or data ko download kaise karte hai ab aap samajh gaye honge, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe
आपने बहुत बढ़िया जानकारी दी है