ANDROIDGOOGLE

Google Password Manager Se Apni All Sites Password Kaise Check Kare

Google password manager se apni all sites password ko kaise check karte hai aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap ek android phone user hai to aapne apne google account se kaise sites par sign up kiya hoga. Aise me google unn sabhi sites ke password ko track karta hai aur save kar leta hai.

Aise me agar aap apni kisi bhi site ka password bhul jate hai to google password manager ke through aap easily apne password ko dekh sakte hai. Aur aapko apna password kahi par bhi save karne ki jarurat nahi hai. chaliye ab aapka jyada time na lete huye shuru karte hai aur janate hai google password manager ke through apni all sites password kaise check kare.

Google Password Manager Se Apni All Sites Password Kaise Check Kare

1 Sabse pehle apne android smart phone me Google chrome open kare.

2 Ab top right hand side me 3 dots par click kare.

3 Iske baad jo options open honge isme Settings par click kare.

4 Settings page me aapko Passwords ke option par click karna hai.

Jaise hi aap password par click karenge aapke samne ek badi list open ho jayegi jisme alag alag vo sites hongi jinpar aapne apne gmail account se login kiya hoga.

Ab aapko jiss kisi site ka password check karna hai uspar click karenge to aapko password aa jayega, lekin show nahi hoga password dekhne ke liye aapko password ke samne eye icon par click karna hai.

Eye ke icon par click karte hi aapka password show ho jayega, iss tarah aap apni sabhi sites par click karke unka password dekh sakte hai. Aur copy icon par click karke password copy bhi kar sakte hai.

I hope aap samajh gaye honge ki google password manager se apni all sites password kaise karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to iss apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe


 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

One thought on “Google Password Manager Se Apni All Sites Password Kaise Check Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.