Google Maps Me Shop (Business) Kaise Add Kare
Google maps me shop (business) kaise add kare iss post me hum janenge so agar aapki koi shop hai or aap koi business karte hai to apne business ko aap google maps me easily add kar sakte hai aur apne business ko jyada logo tak pahucha sakte hai.
Apne business ko google maps me add karne ke baad log online easily usse find kar sakte hai jiske baad pehle se bhi jyada aapki earning increase ho jayegi, aapka business pehle se kahi jyada grow karne lag jayega.
Google maps me apna business add karne ke baad apne business products ki images aap add kar sakte hai, logo ko quickly contact karne ke liye allow kar sakte hai, iske alawa bhi kai aur tarah ke benefits aapko apne buiness ko google maps me add karne se hone wale hai.
Isliye agar aap online or offline koi bhi buiness karte hai aapko apne business ko google maps me add jarur karna chahiye aur google maps me apni shop (dukan) kaise dale agar aap nahi jante ho to iss post me bataye gaye easy steps ko follow kare.
Google Maps Me Shop (Business) Kaise Add Kare
1 Sabse pehle Google maps open karke login kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab jo options aayenge inme Add your business option par click kare.
4 Iske baad jo next interface open hoga isme;
- Business name ki field me apna business ka name enter kare.
- Business category ki field me apne business ki category enter kare.
- Next button par click kare.
5 Ab business location enter karne ke liye pucha jayega yahapar.
- Yes option ko select kare agar aap physically customers ko apne business add me lana chahte hai.
- No option ko select kare agar aap online business karte hai online deal karte hai.
6 Iske baad next page me Business area (service location )select kare. Ye optional hai agar aap business area add nahi karna chahte to iss option ko skip kar sakte hai.
7 Ab region select karne ka option aayega so agar aap india me business karte hai to yahapar India select karke Next option par click kare.
8 Iske baad next interface me open hoga isme;
- Apna 10 digits ka mobile number enter kare.
- Website enter kare agar aapki website hai.
- I don’t have a website option ko select kare agar website nahi hai.
- Next option par click kare.
9 Ab next interface me aapke business se related updates or recommendations aapke google account par send karne ke liye pucha jayega so yahapar.
- Yes option ko select kare agar aap updates pana chahte hai.
- No option ko select kare agar updates nahi chahiye.
10 Iske baad next interface apna Business address enter karke Next option par click kare.
11 Ab aapki contact information ko verify karne ka option aayega;
- Call option par click kare agar aap call ke through OTP receive karna chahte hai.
- Text option par click kare text message ke through OTP pane ke liye.
- Email option ko select kare agar OTP email ke through receive karna hai.
- OTP receive hone ke baad enter karke verify kare.
12 Iske baad jo next interface me kuch categories aayengi inme apne business se related Categories select karke Next option par click kare.
13 Ab next page me apne Business hours select kare.
14 Iske baad messaging allow aur disallow karne ka option aayega so agar aap customers ko message allow karna chahte hai to Accept message option ko enable kare other isse disable karke Next option par click kar dijiye.
15 Ab jo next interface open hoga isme apna Business description enter karke Next option par click kare.
16 Iske baad next interface me business se related images add karne ka option aayega agar images add karna chahte hai to Add photos option par click karke apni mobile gallery se photos select kare. Agar abhi nahi karna chahte hai to Skip option par click kar dijiye.
Iske baad aapka address verify hone ke baad aapka business google maps me add ho jayega aur ab koi bhi aapke business ko easily google maps me find kar sakta hai, aapse customers contact kar sakte hai, aur aapke products ko purchase kar sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki google maps me apne business ko kaise add karte hai agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Video Dekhe