X
    Categories: GOOGLE

Google Family Link Delete Kaise Kare – Remove Family Linik

Google family link delete kaise kare iss post me hum janenge so agar aapne google parental controls ke through apne child ka device link kiya hai aur ab parent control ko disable karna chahte hai aur nahi janate ki google parental controls ko disable kaise karte hai to iss post ko end tak dhyan se padhe,

Google family link google ka ek aisa product hai jiske through aap apne child ke device ko puri tarah control kar sakte hai aur har ek phone activity dekh sakte hai, yahi nahi aap apne phone se children ke device ki koi bhi app lock kar sakte hai aur jab chahe wapas unlock kar sakte hai.

iske sath hi aap apne child ka bedtime bhi set kar sakte hai jiske bad jo bhi bedtime aapne set kiya hoga USS time par automatically phone lock ho jayega aur bhi bahut kuch aap control kar sakte hai agar parental controls enable hai to aise me agar aap kisi vajah se wapas google parental controls ko remove karna chahte hai to niche diye easy steps ko follow kare.

Google Family Link Delete Kaise Kare – Remove Family Linik

1 Sabse pehle apne phone me Google family link app open kare.

2 Iske baad Manage settings option par click kare.

3 Ab next interface me Account supervision option par click kare.

4 Iske baad next interface me bottom side me Stopping supervision ke check box par tick karke Stop supervision option par click kare.

Lijiye aapka kaam ho gaya next interface me aapke samne message aayega supervision stopped yani ki google parental controls remove ho gaya hai.

Iss tarah se aap badi hi aasani se google family link ko uninstall kar sakte hai aur apne child ke device se apna parental controls ko puri tarah remove kar sakte hai 

I hope aap samajh gaye honge ki google parental controls ko disable kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (1)

  • નો ગંદી આદત અછી હી આદતે