Google Chrome Web Browser Ke 6 Interesting Aur Unique Feature
Hello friends, aaj mein aapko google chrome web browser ke 6 interesting aur unique feature ke bare me bataunga. Jinhe aap shayd janate honge aur agar nahi janate hai to iss post me aapko pata chal jayega.
Google chrome ek web browser hai ye to aap janate hi honge. Lekin ye ek simple web browser nahi hai. Other web browser se google chrome web browser thoda alag aur best hai.
Google chrome web browser ke vo kaun se unique features hai. Jo isse dusre web browser se alag banata hai aaiye one by one karke janate hai.
Google Chrome Web Browser Ke 6 Interesting Aur Unique Feature
Google chrome web browser ke 6 interesting aur unique feature ko use karne ke liye aapko sabse pehle iska latest version download karna hoga. Agar aapne abhi tak google chrome latest version ko download nahi kiya hai to pehle isse download kar lijiye. To chaliye shuru karte hai aur janate hai. Google chrome web browser ke 6 interesting aur unique feature ke bare me.
#1 Google Chrome Web Browser Offline Game
Internet connection chale jane par aapne google chrome browser me ek chhota dinosour show hota hai. Aur sath hi “no internet connection” ka message bhi show hota hai. Actually ye ek game hai jisse aap google chrome browser me without internet connection ke khel sakte ho.
Iss game ko play karne ke liye aapko bus space bar press karna hai. Jiske baad ye start ho jata hai. Iss game me aapko cactus jaise obstruction ko jump karke bachna hota hai. Aur game ka score aap top right side me dekh sakte hai.
#2 Google Chrome Web Browser Calculator/Unit Converter
Google chrome web browser ka use aap calculator or unit converter ki tarah bhi kar sakte hai. Agar kisi kaaran aap apne computer window me calculator open nahi kar pa rahe hai. Aur na hi aapka internet connection chal raha hai. To aise me aap chrome browser me aap kisi bhi amount ko calculate kar sakte ho.
- Address bar me javascript:alert(calculation) enter kare aur enter key press kare.
- Dialog box me aap calculate value dekh sakte hai. Issi tarah se aap bracket ( ) ke ander subtract, multiply, devident. Aur plus value add karke calculation dekh sakte hai.
#3 Google Chrome Web Browser File Manager Extension
Desktop or laptop me kisi file ko search karna ho to sabse pehle window explorer ko open karna padta hai. Iske baad hi aap apne alag alag drive me pahuch sakte hai. File manager ki help se aap apni folders aur file ko organize kar sakte ho. Aur easily kisi bhi file or folder ko open kar sakte ho.
Google chrome web browser se bhi aap yahi kaam direct kar sakte hai. Google chrome browser se computer ki kisi drive or folder tak pahuchne ke liye. Aapko address bar me file:///c:/ enter karna hai aur enter press karna hai. Aap sidhe C: drive me pahuch jayenge. Issi tarah se kisi other drive me jane ke liye c: ki jagah other drive enter kar sakte hai.
#4 Google Chrome Web Browser PDF Reader
Aapke computer me pdf reader nahi hai aur aapko pdf or ebook open karni hai. To iss kaam ke liye bhi aap google chrome browser ka use kar sakte hai. Aur chrome browser ko pdf reader ki tarah istemal kar sakte hai.
Pdf file ko mouse se click hold karte huye chrome browser ke address bar me drag kare. Aur enter press kijiye aapki pdf file open ho jayegi.
#5 Google Chrome Web Browser Audio/Video Player
Chrome browser ke address bar me apne computer drive se koi bhi video or audio file drag kare. Enter press kare aapki movie or mp3 file audio/video controller ke sath play ho jayegi.
#6 Google Chrome Web Browser Pin Tab
Agar aap ek power surfer hai to chrome browser me aap kuch hi minutes me kai sare tabs open karte honge. Aur inn sabhi tabs ke beech me kuch jaruri tabs par pahuchna ho to aapko one by one karke inn sabhi tabs me jana hoga.
Lekin ab aap multiple tabs ke beech me kuch khas tabs ko pin kar sakte ho. Aur aasani se unn tak pahuch sakte ho. Pin tab feature ki help se aap kisi bhi jaruri tab ka size reduce kar sakte ho. Aur usse favicon ke aakar me top left side me pin kar sakte ho. Jisse aap aasani se uss tab ko pehchan kar uss tak pahuch sakte ho.
- Jiss tab ko pin karna hai uspar right click kare.
- Pin tab par click kare.
- Left side me tabs pin ho jayenge aur unka size bhi reduce ho jayega.
To dosto ye they google chrome web browser ke 6 unique aur interesting features. I hope aapko google chrome ke inn features ki jankari pasand aayi hogi.
Agar aapko googe chrome ki ye jankari acchi lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare. Aur agar aapka isse related koi saval ya sujhav ho to niche comment box me comment kare.