PHOTOSHOP

Eyedropper Tool Ka Use Kaise Kare Adobe PhotoShop Me

Adobe photoshop me eyedropper tool ka use kaise karte hai iss post me mein aapko bataunga. Eyedropper tool ke sath sath adobe photoshop me aur bhi kai useful tools hai. Aur inn photoshop tools ki jankari mein aapko pichli post me de bhi chuka hu. Lekin aaj hum perticular eydropper tool ke bare me janenge. To chaliye start karte hai aur janate hai ki adobe photoshop me eyedropper tool ka istemal kaise karte hai.

Eyedropper tool photoshop ke alawa aur bhi other software me aap dekh sakte hai. Aur sabhi softwares me eyedropper tool ka ek jaisa hi use hota hai. Agar aap nahi janate ki adobe photoshop me eyedropper tool kis kaam aata hai. To mein aapko bata du ki eyedropper tool ki help se aap kisi bhi photo ke colors ko select kar kisi other area me paste kar sakte hai.

Photoshop tools me Iss tool ki help se aap apni photo me available colors ka use kar sakte hai. For example photo ke kisi perticular part ke color ko text, paint, pencil ya brush me use karna hai to eyedropper tool se easily color pick kar sakte hai.

Adobe PhotoShop Me Eyedropper Tool Ka Use Kaise Kare

Photo or image ke kisi bhi color ko choose karne ke liye eyedropper tool bahut hi useful hai. Aur iss tool ko istemal karna bhi bahut hi aasaan hai. Adobe photoshop me eyedropper tool ka istemal kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle adobe photoshop me kisi image or photo ko open kare.

Eyedropper Tool ka use

  1. Eyedropper tool par click kar select kare.
  2. Eyedropper tool par click karte hi mouse pointer par drop ka icon show hoga. Ab iss dropper se photo me jahapar bhi click karenge. Uss area ka color select ho jayega. Issi tarah se aap photo ke kisi bhi area ka color ko select kar sakte hai.

 

Step 2

Eyedropper tool se photo ke color ko choose karne ke baad ab isse other place me paste karna hai.

Eyedropper Tool ka use

  1. Marquee tool par click kare.
  2. Photo ke kisi bhi part me mouse se drag karke selection banaye. Aur Alt+Delete button press kare.

Alt+delete button par click karte hi jo color humne eyedropper tool se select kiya tha. Vo dusre place me paste ho chuka hai. Issi tarah se aap eyedropper tool ka use karke photo or image me available kisi bhi color ko choose kar sakte hai.

I hope ab aap samajh hi gaye honge ki photoshop me eyedropper tool ka use kaise karte hai. Agar phototoshop tool ki ye jankari aapko pasand aayi ho to isse share bhi jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.