GOOGLE

Google Analytics Aur Google Search Console Setup Kaise Kare SSL Me Move Karne Ke Baad

Webiste me secure sockets layer yani ki SSL certificate enable karne ya http se https me move karne ke baad. Google analytics aur google search console setup kaise karte hai. Aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. Agar aap nahi janate hai ki website ko SSL me move karne ke baad or http se htts me switch karne ke baad. Google analytics aur google search console/webmaster tools ko kaise update karte hai. To iss post ko dhyan se padhe aur bataye gaye easy steps ko follow kare.

Jab aap apni site ko ssl me move karte hai to aapko google analytics aur google search console/webmaster tools me kuch jaruri settings change karni padegi. Site ko ssl me move karne ke baad google analytics aur webmaster tools ki setting karna behad important hai. Agar aap aisa nahi karte hai to aapko apni site analysis karne me thodi problem ho sakti hai. Aur google search engines me bhi iska asar pad sakta hai.

Google Analytics Aur Google Search Console Setup Kaise Kare SSL Me Move Karne Ke Baad

Site me SSL certificate enable karne ke baad google analytics aur google search console setup karna kitna important hai. Ab aap samajh hi gaye honge to chaliye ab step by step jan let hai. Ki secure socket layer me switch karne ke baad. Google analytics aur webmaster tools ko kaise update karte hai.

Google Analytics Setup Kare

  1. Sabse pehle Google analytics me login kare.
  2. Left side menu me bottom side me Admin option par click kare.
  3. Middle section me Property settings par click kare.
  4. Default URL ke dropdown par click karke http:// select kare.
  5. Default view ke dropdown menu se All website data ko select kare.
  6. Finally sabse niche Save button par click kar dijiye.

Lijiye google analytics account setting ho gayi hai. Iske baad ab aapko apna google search console/google webmaster tools setup karna hai. Iske liye niche diye steps follow kare.

Google Search Console/Google Webmaster Tools Setup Kare

  1. Sabse pehle Google webmaster tools me login kare.
  2. Add A Property button par click kare.
  3. Ab ek pop-up box open hoga isme htts ke sath apna doman name enter kare. Jaise ki https://hinglishhelp.com.
  4. Next page me aapki site ki ownership ke liye pucha jayega. Yahapar Recommended method tab me Verify button par click kare.
  5. Ab next page me account succefully verified ka message aayega. Isme Continue link par click kare.
  6. Continue link par click karte hi aap google webmaster tools me new property add ho jayegi. Yahapar kuch option diye honge aapko Sitemap ke option par click karna hai.
  7. Ab top right side me Add/Test sitemap ke button par click kare.
  8. Ab add/test sitemap ka ek dialog box open hoga. Isme aapki site name ke thik aage box me Sitemap.xml enter kare.
  9. Ab Test button par click karke aap sitemap check kar sakte hai. Iske baad Submit button par click kar dijiye.
  10. Wapas google search console ke dashboard me jaye.
  11. Ab google search console ke me aapki site ki 2 property ho jayegi. Pehli http ke sath aur dusri https ke sath domain name hoga. Aapko old property ko delete karna hai.
  12. Old property delete karne ke liye uske samne Manage property button par click kare. Aur Delete option par click kar dijiye.
  13. Ab new property ko open kare aur isme apni sabhi post url ko ek baar fir se submit kar dijiye. URL update karne ke liye aap left side menu me Crowl option me jaye. Aur Fetch as google par click karke one by one karke sabhi url add kar dijiye.

Delete button par click karte hi google webmaster tools me aapki old property delete ho jayegi. Yahapar aapko bus itna hi karna hai. Ab aapka google analytics aur google search console setup complete ho jayega.

Video Dekhe

I hope ab aap samajh gaye honge ki SSL certificate enable karne ke baad. Google analytics aur google search webmaster tools ki settings kaise karte hai. Agar aapka koi saval ho to niche comment box me comment kar sakte hai. Aur agar aapko ye jankari helpful lage to isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Google Analytics Aur Google Search Console Setup Kaise Kare SSL Me Move Karne Ke Baad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.