Godaddy Se Domain Name Register Kaise Kare
Hello friends, agar aapka blog bloger par hai, aur domain register karna chahte hai to godaddy se domain register karna aapke liye best option rehega, kyuki godaddy biggest domain services me se ek hai jo ki domain name registration ke sath email service aur web hosting bhi provide karata hai, to aaj hum janenge ki godaddy se domain name register kaise kare.
Godaddy hume bahut se features aur offers provide karata hai, ye service blogger ke sath associated hai, jisse ki blogger ke liye domain name register karna aur bhi easy ho jata hai, iske sath hi bloggers sidhe apne dashboard se domain name registration kar sakte hai.
Domain Name Kya Hota Hai
Website jiss name se identify hoti hai uss name ko domain name kehte hai, for example Hinglish Help ka domain name hinglishhelp.com hai, Har ek website ka domain name hota hai jo ki uss website ki online address par access hoti hai, domain name prefix me www. hota hai aur suffix me .com, .in, .org, .net etc hote hai.
Without suffix koi bhi website nahi hoti hai, aur har kisi site ka koi na koi suffix hota hai, jaise .com commercial webistes ke liye, .org organizational sites ke liye aur .net networking sites ke liye use hote hai, aur kuch suffix country code ko specify karte hai for example .in (india), .pk (pakistan), .cn (china), .bd (bangladesh), .au (australia) etc.
Godaddy Se Domain Name Register Kaise Kare
Domain name kya hota hai ye hum jaan gaye hai, ab jyada time na lete huye step by step jaante hai ki domain registration kaise hota hai.
??Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide
Step 1
Sabse pehle godaddy official site par jaye, aur login kare.
- Sign in dropdown par click kare.
- Agar godaddy account nahi hai to create my account button dabaye aur signup form fill karke pehle account banaye.
- Agar pehle se account hai to username aur password dalkar sign in par click kare.
??Blogger Blog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare
Step 2
Ab jiss name se aap apni website banana chahte hai vo search box me daliye, agar domain name available hoga to search result me website aur select karne ka option aayega, agar available nahi hai to dusra name choose kare.
- Jiss name se website banani hai vo search box me daliye.
- Search button par click kare.
- Agar .com ke sath .in bhi register karna chahte hai to yaha click kare. Agar sirf .in lena hai to upar search box me name ke sath .in lagakar search kare.
- Select button par click kare.
- Continue to cart button dabaye.
??Hostgator Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
Step 3
Ab next window me other services purchase karne ke liye options aayega, yaha par sab me no thanks rehne dijiye, aur scroll down kijiye aur continue to cart button par click kare.
Continue to cart button dabaye.
??Google Analytics Ko Adsense Se Kaise Connect Kare
Step 4
Ab next window me domain cart me add ho chuka hai, yahapar registration period aur total amount check kar lijiye.
- Kitne time ke liye domain lena hai select kare.
- Total kitna amount pay karna hai, acchi tarah check kar le.
- Proceed to checkout button par click kare.
??Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Jode
Step 5
Ab agle page me payment karne ke liye payment options choose kare, aur order place kare.
- Apni billing information check kar lijiye.
- Payment information me payment method choose karke detail bhare. Payment method me aap net banking, credit card, debit card etc select kar sakte hai.
- I agree tick box me tick kare.
- Finally place your order button par click kare dijiye.
Step 6
Place your order button par click karte hi aapka domain register ho gaya hai, aap chahe to registration detail check kar lijiye.
- Domain tab par click kare.
- Domain name, expires date aur status check kijiye.
??Facebook Password Ko Reset Kaise Kare
??Advance Excel Me Data Advance Filter Kaise Lagaye
Dosto aaj ki post me humne jana ki godaddy se domain name register kaise kare, ummeed hai aapko post acchi lagi hogi, phir bhi koi confusion ho to aap hume comment ke through apne saval puchh sakte hai.
So friends, agar aap kar sakte hai to ab next step me aapko 3 kaam karne hai jo ki iss prakar se hai:-
- Top right sidebar me humare facebook fan page ko like kare.
- Agar yeh blog helpful lagta hai to subscribe jarur kare.
- Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social media par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.
Hi नमस्कार sir मै domainandhosting से एक domain Godday server पर transfer कर रहा हु , लेकिन sir उस domain को lock करके रखा है तो क्या domain को unlock कर दे या अन्य किसी प्रकार की technical support की जरुरत पड़ती है .
iske liye aapko apna domain unlock aur domain privacy ko disale karna hoga