ANDROID

Gallery Par Lock Kaise Lagaye – Hide Photos & Videos From Gallery

Gallery par lock kaise lagaye iss post me hum janane wale hai, agar aap apni mobile gallery ki sabhi photos aur videos hide karna chahte hai to iss post me jo tricks me aapko batane wala hu uske through aap easily apne android phone gallery ki sabhi photo aur videos hide kar sakte hai vo bhi bina koi third party app ko install kiye.

Apne mobile camera se aap jo bhi photo click karte hai ya jo bhi videos record karte hai vo aapki gallery me save ho jati hai jinhe kabhi aap dekh sakte hai ye aap acchi tarah janate hi honge, thik issi tarah se aapko friend ya janane wala aapka phone lekar aapki gallery ko open kar sakta hai aapki sabhi photos aur videos ko dekh sakta hai.

Aise me agar aap apni gallery ki sabhi photos aur videos ko hide karna chahte hai, agar aap chahte hai aapka phone lekar bhi koi aapki gallery ki files ko access na kar sake to iss post me mein aapko iske 2 methods bataunga ki kaise aap apni gallery ke data ko hide kar sakte hai, chaliye step by step jante hai.

Gallery Par Lock Kaise Lagaye – Hide Photos & Videos From Gallery

Method 1

1 Sabse pehle apne Phone ki settings opne kare.

2 Iske baad Privacy option par click kare.

3 Ab privacy settings me App lock option par click kare.

4 Iske baad apne phone ke Default password ko enter karke unlock kare.

5 Ab next interface me aapke phone ki sabhi apps aapke samne show ho jayengi to inme Gallery app ke samne Toggle button ko enable kar dijiye.

Iske baad aapke mobile gallery par lock enable ho jayega aur ab jab bhi aap apni phone gallery open karenge to pehle aapko apne phone ka password enter karna hoga tabhi gallery open hogi otherwise nahi.

Method 2

1 Sabse pehle File manger open kare.

2 File manager me Phone storage option par click kare.

3 Iske baad next interface me DCIM folder par click kare.

4 Ab next interface me kuch aur folders aayenge to inme Camera folder par long press kare.

5 Camera folder select hone ke baad bottom right corner me More option par click kare.

6 More option par click karne kuch aur option aayenge to inme Rename option par click kare.

7 Iske baad camera folder name ke starting me ek dot (.) enter kare, for example (.camera) aur check mark option par click kare.

8 Ab red color me ek message aayega to yahapar bhi Checkmark option par click kar dijiye.

Lijiye aapka kaam ho gaya ab iske baad jaise hi aap apni mobile gallery open karenge aapki sabhi photos aur videos aapko show nahi hogi vo sabhi hide ho jayengi, iss tarah se aap iss second method ka use kar sakte hai agar app lock ka option aapko nahi milta hai.

I hope ab aap samajh gaye honge ki bina koi app install kiye apni mobile gallery ki sabhi photos aur videos ko kaise hide kar sakte hai, agar ye jankari helpful lagi ho isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.