The site is experiencing technical difficulties. Please check your site admin email inbox for instructions. Agar ye error aap wordpress admin section me login karte time face kar rahe hai. Aur wordpress technical difficulties error ko solve karne ke bare me agar aap google par search kar rahe hai. To ab aapki search finish hoti hone wali hai. Kyuki iss post me mein aapko wordpress website ki iss technical difficulties error ko solve karne ke bare me batane wala hu.
WordPress website par experiencing technical difficulties ko fix karne ke liye aapko apne wordpress hosting par jana hai. Vahase aap easily iss error ko solve kar sakte hai. Aapki wordpress hosting kisi bhi site par ho. Sabhi wordpress hosting sites par ye process ek jaise hi karna hai. Iske liye aapko apne wordpress hosting account me login karna hai aur fir error plugins ko remove ya rename karna hai.
Problem with “Site Is Experiencing Technical Difficulties” Error
Agar aapka wordpress blog hai to bahut si errors hai to aapko face karni padti hai. Jaise ki database connection errors, internal server errors etc. Aur inn errors me ek hai “the site is experiencing technical difficulties”. Jo ki bhot baar aapko wordpress login karte time show hoti hogi. Aur iss issue ki vajah se aapke wordpress blog ka admin section open nahi ho pata hai.
Aur jab bhi aap apne wordpress login karte hai to aapko kuch iss tarah ki errror show hoti hai. Jaise ki aap niche image me dekh sakte hai.
Jaise ki aap upar image me error dekh sakte hai. The site is experiencing technical difficulties. Please check your site admin email inbox for instructions. to agar iss tarah ki error aapke wordpress blog par aa rahi hai to aise me aap na to WP admin open kar payenge. Aur apne wordpress blog par kuch bhi update nahi kar payenge.
Jaise ki new post publish karna, wordpress website par site analytics check karna. New wordpress plugins add karna or update karna. Iske sath hi aap apne visitors ke comments ko bhi check nahi kar sakte hai. Aur unko reply dena to door ki baat hai. Aur bhi bhot kuch updations hai jo aap apne wordpress dashboard par nahi kar payenge.
Iss vajah se aapka wordpress blog down ho sakta hai. Aur jab aapke blog par kisi tarah ki koi updations nahi hongi. To aap samajh sakte hai ki visitors bhi dheere dheere aapke blog par kam hote jayenge. Isliye iss error ko jaldi se jaldi solve karna bahut jaruri hai.
Why Does “The Site Is Experiencing Technical Difficulties Error” Occur
Agar aapki site par ye error show ho rahi hai to aap sochenge ki ye kis vajah se hua hoga. To mein yahapar aapko bata du ki site technical difficulties error blog par tab aati hai. Jab aap apne wordpress blog par kuch update karte hai. Jaise ki apna wordpress them update karte hai. Ya fir koi new plugins install kare usse activate karte hai. Mostly ye problem tabhi aapko face karni padti hai. Kai baar old plugins ki vajah se bhi iss tarah ki problem ho sakti hai.
Fix WordPress Error The Site Is Experiencing Technical Difficulties
To ab aap ye to samajh hi gaye honge ki “the site is experiencing technical difficulties error kya hoti hai. Aur wordpress blog par ye kyu aati hai. Ab baat karte hai ki agar aap iss tarah ka issue apne wordpress blog par face kar rahe hai. To isse solve kaise kiya jaye.
Iske liye sabse pehle aapko main problems ko find out karna hai. Ki error kyu show ho rahi hai. Jaise ki meine upar bataya ye error ya to wordpress update ki vajah aati hai. Ya fir aap ko plugins update karte hai uski vajah se aati hai.
Agar kisi plugins ki vajah aap ye problem face kar rahe hai to isse kaise solve karna hai. Taki aap dubara se aap apne wordpress login kar sake. Chaliye iss post me step by steps janate hai.
Step 1
So friends iss error ko fix karne ke liye sabse pehle aapko apne wordpress blog ke cpanel me login karna hai. Cpanel me login karne ke baad aapko File Manager ke folder par click karna hai.
Step 2
Ab aap apne wordpress blog ke cpanel ke file manager me pahuch jayenge. Yahapar aap rightside section me Public_HTML option par click kare.
Step 3
Jaise hi aap public.html par click karenge to next page me kuch aur option aayenge. Yahapar aapko Wp-Content ke option par click karna hai.
Step 4
Ab Wp-content ke ander aapko ek aur folder show hoga. Plugins ka to aapko iss folder par click karna hai.
Step 5
Plugins folder par click karte hi aapke wordpress blog ke sabhi installed plugins aapko show ho jayenge. Ab jiss plugins ki vajah se technical difficulties error aa rahi hai. Usse ya to aapko delete kar dena hai ya fir usse rename bhi kar sakte hai.
- Plugins par click kar select kar lijiye.
- Plugin ko delete kar de ya fir isse rename kar dijiye.
Bus yahapar aapko bus itna hi kaam karna hai. Jaise hi aap error plugins ko rename ya delete kar denge. To aapke wordpress website par technical difficulties error solve ho jayegi. Aur ab jaise hi aap apne wordpress login karenge. To aapko iss tarah ki koi bhi error show nahi hogi. Aur aap easily apne wordpress dashboard me login kar payenge.
To ab aap samajh hi gaye honge ki wordpress website par error “The site is experiencing technical difficulties. Please check your site admin email inbox for instructions”. ko solve kaise karte hai.
Agar aapko kisi tarah ki koi problem hoti hai. Ya fir aapka koi sujhav hai iss post se related to comment jarur kare. Aur agar aapko ye post helpful lag rahi hai to isse social media sites par apne friends ke sath bhi jarur share kare.