Instagram Story Not Showing Problem Solve Kaise Kare – Fix Insta Story Error
Hot to fix instagram stories not showing up error yani ki Instagram story not showing problem solve kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aapke instagram account par friends ki story show nahi ho rahi hai to iss post ko end tak jarur padhe.
Users jab apni instagram app open karte hai to top side me friends ki story show hoti hai jispar click karke vo kisi bhi friend ki story dekh sakte hai, lekin aksar aisa bhi hota hai ki users ko story section me kisi bhi friend ki story nahi dikhai deti hai aise me niche bataye tarike se aap iss problem ko solve kar sakte hai.
Instagram Story Not Showing Problem Solve Kaise Kare – Fix Insta Story Error
1 Sabse pehle apne mobile phone ki Settings me jaye.
2 Iske baad Additional settings option par click kare.
3 Ab next interface me Date & time option par click kare.
4 Ab next interface me Network provided time (Automatic Date & time) option ko enable kar dijiye.
- Note: Ho sakta hai aapke phone ki settings me date and time feature kisi other option me available ho aur aapko date & time option nahi mil raha ho, aise me aap settings page ke top side me date & time type karke search kar sakte hai.
Lijiye aapka kaam ho gaya ab aapko apne instagram account me apne friends ki story show hone lag jayegi, some time network error ki vajah se mobile phone ki date or time change ho jati hai, jiski vajah se instagram users apne following ki story nahi dekh pate hai.
Ya fir agar aapne manually apne mobile phone ke time ko change kiya hai to bhi insta story error show karti hai aur aapko apne friends ki stories show nahi hoti hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki instagram story not showing problem ko fix kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social media platforms par share jarur kare.
Video Dekhe