X
    Categories: GOOGLE PAY

Google Pay Ki Transaction History Delete Nahi Ho Raha Hai to Kya Kare

Google pay ki transaction history delete nahi ho raha hai to kya kare iss post me hum janenge, so agar aap apne gpay account ki payment history ko delete kar rahe hai aur gpay history delete nahi ho rahi hai to iss problem ko kaise fix karte hai iski puri jankari yahapar aapko mil jayegi.

Vaise aap apne google pay account history delete easily kar sakte hai lekin agar iss process me aapko koi problem aa rahai hai to niche diye steps ko follow karke aapki problem fix ho jayegi, aapki gpay payment history 100% delete ho jayegi.

Google Pay Ki Transaction History Delete Nahi Ho Raha Hai to Kya Kare

1 Sabse pehle apna Google Pay app open kare.

2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.

3 Iske baad Settings option par click kare.

4 Ab next interface me Privacy and security option par click kare.

5 Iske baad next page me Data and personalisation option par click kare.

6 Ab next interface me Google account link par click kare.

  • Iske baad jo next interface open hoga yahi par log galati karte hai.
  • Direct delete link par click karke transaction history delete kar dete hai.
  • Issi vajah se aapki gpay history clear nahi hoti hai.
  • Yahapar aapko top righ corner me apne Profile icon par click karna hai.

7 Iske baad apni gpay wala Google account select kare.

8 Right google id me switch karne ke baad Delete option par click kare.

9 Aur fir finally Always option par click karke apni gpay history delete kar dijiye.

Iss tarah se aap 100% apni gpay payment transactions ko remove kar sakte hai, agar aapko pehle apni google pay account ki payment transactions ko remove nahi kar pa rahe they to inn steps ko follow karne ke baad aapko gpay history delete ho jayegi.

I hope, ab aap samajh gaye honge ki gpay history delete na hone par kya karna hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to ise apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More