Facebook Trick Continue Reading Link Add Kaise Kare
Pichli kuchh posts me hum aapko facebook ki jaankari de chuke hai, aur aaj ki post me hum janege ki facebook trick continue reading link kaise add karte hai.
Facebook par kai popular posts me kuchh lines ke baad aap continue reading link ko dekh sakte hai aur jab iss link par click karte hai to pura post open ho jata hai, jiske baad hum puri post ko padh sakte hai.
Iss trick ka use karke aap apne facebook popularity ko badha sakte hai, aur user ko apne page/group me pahucha sakte hai, jisse ki aapke users bhi badh sakte hai.
Facebook Trick Continue Reading Link Add Kaise Kare
Facebook post me continue reading link add karna bahut hi aasan hai, to chaliye aapka jyada samay naa lete hue step by step jante hai ki kya karna hai.
Step 1
Sabse pehle iss code ko copy kare aur notepad me paste karke edit kare.
@[Page/Group Id:0] Your Message @@[0:[Page/Group Id:1:continue reading…]]
- Page/Group Id ki jagah par apni fb page/group ki id dale.
- Your Message me ek badhiya sa adhura message banakar dale.
- Continue reading rehne de, isse change bhi kar sakte hai jaise read more.
Step 2
Ab code taiyar hone ke baad facebook ko mobile version me open kare ya pc ke internet browser me m.facebook.com likhar open kare.
- Url box me m.facebook.com dalkar open kare.
- Post button par click kare.
- Notepad me taiyar code box me dale.
- Top rightside me post link par click kare.
Ab jaise hi aap post link par click karenge, aapka message post ho jayega aur message ke aage continue reading… link bhi add ho jayega, for example niche image dekh sakte hai.
Related Posts
??Facebook Page Auto Reply Kaise Kare
??Facebook Friend Ko Block Or Unblock Kaise Kare
??Facebook Friendlist Ko Hide Kaise Kare
Facebook continue reading link se related ye post aapko kaisi lagi apne comments ke dwara jarur bataye, aur iss trick ko apne social media friends ke sath share bhi jarur kare.
Facebook page id kaise pta krte hai
Mai mere page ki id kaise malum karu
apne facebook page ko open kijiye aur left side me about menu me jaye aur bottom side me aapki page ki id dekh sakte hai
Mere group me koi add nhi hora add Kise badhaye
aap apne friends ko fb group join karne ke liye request bheje