FACEBOOK

Facebook Public Post Settings in Hindi – Control Who Can See What You Share on FB

Iss post me mein aapko facebook public post settings ke bare me batane ja raha hu. Facebook me aap jo bhi post share karte hai usse publicly koi bhi dekh sakta hai, lekin agar aap chahte hai ki jin users ko aap select kare vo hi aapki post dekh paye to iss psot me bataye tarike se aap apne according apni audience select kar sakte hai.

Facebook par aap jo bhi post publish karte hai usse kaun kaun dekh sakta hai isse control karne ke liye niche batayi gayi facebook public post settings ko di gayi hai jinse aap apni facebook posts public ya private kar sakte hai, aur apni fb post privacy set kar sakte hai puri jankari ke liye niche diye steps ko follow kare.

Facebook Public Post Settings in Hindi – Control Who Can See What You Share on FB

Facebook par aap aagey se jo post share karne wale ho unhe aap kaise public ya private kar sakte hai iske liye niche diye steps follow kare.

1 Sabse pehle Facebook open kare.

2 Ab top right corner me 3 Dots par click kare.

3Iske baad Settings & privacy option par click karke Setting par click kare.

4 Ab next page me Audience and visibility option me Posts option par click kare.

5 Ab kuch options aayenge to inme Who can see your future posts setting ko open kare.

6 Next interface me Try it now option par click kare.

7 Ab post create karne ka option aayega, to yahapar apne profile name ke niche Public dropdown par click kare.

  • Public option select karenge to shared post publicly sabhi ko show hogi.
  • Friends option select karenge to sirf facebook friends hi aapki post dekh payenge.
  • Friends Excepts option select karke aap apni friend list se jin friends ko select karenge vo aapki post nahi dekh payenge.
  • Specific Friends option select karke aap apni friend list se jo bhi friends select karenge sirf unko hi aapki post show hogi.
  • Only Me option ko select karenge to aapke alawa kisi ko bhi aapki post show nahi hogi.

8 Upar diye options me se apne accordinig koi bhi option select kare aur ab New post create karke publish kar dijiye.

  • Iske baad se aap facebook par jo bhi post share karenge to ussi privacy mode me share hogi jo aapni abhi seelct karke share kiya hai.

9 Iske baad Posts settings me Limit Who Can See Past Posts option par cilck kare.

10 Aur next inteface me Limit past posts option par click kar dijiye.

Iske baad jo aapki pehle ki share ki gayi post (past post) hogi, vo sirf aapke facebook friends ko hi show hogi aur baki sabhi se hide ho jayegi.

I hope, aapko facebook public post settings ki ye jankari helpful lagi hogi, agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.