X
    Categories: FACEBOOK

Facebook par Live Video Streaming Kaise kare – Facebook Go Live

Facebook par live video streaming kaise kare aaj ki iss video me mein aapko batane wala hu. To agar aap nahi jante ki facebook me live kaise aate hai. To iss post me mein iski puri process aapko bata raha hu. Facebook par live video upload karne ki jankari ke liye niche diye steps ko follow kare.

Facebook live video streaming se aap apne audience tak pahuch sakte hai. Agar aap koi business karte hai to free me apne viewers tak usko pahucha sakte hai. Iss feature ki help se aap facebook par unse live connect ho sakte hai. Aur unse real time commenting kar sakte hai aur unke reations pa sakte hai.

Facebook par Live Video Streaming Kaise kare

Facebook me go live feature ki help se aap live streaming kar sakte hai. Fb me live aana bahut hi simple aur easy hai. Puri jankari ke liye niche diye gaye easy steps ko follow kare.

Step 1

Sabse Pehle Facebook application ko open kar login kar lijiye. Aur write something here ke box me click kare.

Step 2

Ab niche kuch aur option show honge, yahapar Go Live par click kare.

 

Step 3

Go live option par click karte hi aapke android mobile ka camera on ho jayega. Lekin abhi live streaming start nahi hui hai. Aap chahe to live video streamng se pehle kuch jaruri settings kar sakte hai. Jaise ki aap niche dekh sakte hai.

  1. Camera location (front aur rear) change kar sakte hai.
  2. Live streaming ke liye Flash on kar sakte hai.
  3. Yahase aap video me Emoji add kar sakte hai. Aur apni Location ko set kar sakte hai. Sath hi kisi friends ko Tag bhi kar sakte hai.
  4. Plus ke icon par click karke face ke liye Mask choose kar sakte hai.
  5. Apni live streaming video ka Description yahapar type kar sakte hai.
  6. Sabhi settings hone ke baad ab finally Start Live Video ke button par click kar dijiye.

 

Step 4

Start live video par click karte hi aap sidhe facebook par live ho jayenge. Ab jo kuch bhi aapko apni audience se kehna hai aap live video me dikha sakte hai.

  1. Comments will apear here me aapko aapke viewers ke comments show honge. Aur yahi se aap unka reply bhi kar sakte ho.
  2. Live steaming ko stop karne ke liye Finish ke button par click kar dijiye.

Step 5

Jaise hi aap finish ke button par click karenge next window me aapko iss tarah ka interface show hoga. Yahase aap live video streaming ko save kar sakte hai.

  1. Yahapar par aapki live video ka preview show hoga.
  2. Yahase aap video ko private ya public kar sakte hai.
  3. Live streaming video ko remove karne ke liye Discard ke button par click kar sakte hai.
  4. Finally video ko save karne ke liye Keep ke button par click kar dijiye.

 

So friends iss easy tarike se aap facebook par live video streaming kar sakte hai. Agar post helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More