FACEBOOK

Facebook Page Likes Remove Kaise Kare – How to Delete Likes from FB Page

Facebook page likes remove kaise kare aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu, so agar aapka facebook par fan page hai aur apne page ke likes me se kuch users ko ban karna chahte hai jinhone aapke facebook business page ko like kiya hai to iss post me batayi gayi trick se aap easily remove kar sakte hai.

Facebook par fan page or business page create karke aap apne talent ya business ko aur bhi jyada improve kar sakte hai, aur jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai, aise me kai logo ko aapke business page me interest hota hai to vo aapke fan page ko like karte hai, taki unhe aapke business page ki har update milti rahe.

Lekin kabhi aisa bhi ho sakta hai ki aapke page liker me se koi user galat comment karne lage, aise me aap uss user ko apne facebook page like se remove karna chahenge aur apne facebook page me ban karna chahenge. Agar aap kisi bhi user ko apne page par ban kar dete hai to vo page me comment, likes or post nahi kar sakta hai.

Agar aap apne FB page me likes ko remove karna chahte hai to aise users ko ban karna chahte hai jo galat comments karta hai to iss post me bataye gaye steps ko follow jarur kare. Facebook page likes remove or delete kaise kare chaliye ab step by step janate hai.

Facebook Page Likes Remove Kaise Kare – How to Delete Likes from FB Page

1 Sabse pehle apne Facebook account me login kare.

2 Ab top right corner me 3 lines par click karke apne Fan page ko open kare.

3 iske baad page ke top side ke tabs me se More tab par click kare.

4 Ab kuch options aayenge to yahapar Settings option par click kare.

5 Iske baad next interface me People and other pages option par click kare.

6 Ab aapke samne 3 options aayenge to yahapar People who like this page option par click kare.

7 Iske baad aapke samne aapke facebook page likers ki list aa jayegi, to jiss user ko remove karna hai uske samne Ban option par click kare.

8 Ab ek popup open hoga to isme finally OK par click kar dijiye.

9 Agar kisi page ko remove karna hai to Pages that like this page option par click kare.

10 Aur step no. 7 ko follow kare.

Iss tarah se aap apne facebook business page ke likes ko remove kar sakte hai, lekin agar aapko wapas kisi user ya page likes ko unban karna hai to kya kare chaliye janate hai.

1 Yahapar aapko 3rd option Banned people and pages option par click kare.

2 Next interface me aapke samne banned likes aa jayenge to jisse unban karna hai uske samne Unban option par click kare.

To iss tarah se aap banned facebook likes ko unban kar sakte hai, i hope ab aap samajh gaye honge ki facebook page likes remove kaise karte hai, agar aap ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.