X

Facebook Page Kaise Banaye Hindi Me Puri Jaankari

Facebook social network par ek popular free service website hai, jo ki registered users ko profile create karne, videos aur photos ko upload karne aur ek dusre ko message send/receive karne ki service provide karata hai, iske sath hi hum iss platform ka use karke apne friends, family aur colleagues ke sath touch me reh sakte hai. Facebook account banana to hum jaan gaye hai, aur ka humara topic hai new facebook page kaise banaye.

Facebok par free me page banakar hum jyada se jyada logo se jud sakte hai, aur apne talent, interest aur business ko promote kar sakte hai, aur sath hi sath page ke likes badhne par facebook se earning bhi kar sakte hai, to chaliye aapka jyada samay na lete huye step by step jaante hai ki new facebook page kaise banaye aasani se.

Facebook Page Kaise Banaye / How to Create Facebook Page

 

Step 1

Sabse pehle facebook me login kare.

  1. Login hone ke baad top right side me dropdown menu par click kare.
  2. Create page par click kijiye.

 

 

Step 2

Ab jo agla page khulega usme aapko apne page ke liye category select karni hai.

  • Local Business Or Place – Agar aap apni shop ya business ko promote karne ke liye page bana rahe hai to iss category ko select kar sakte hai.
  • Company, Organization or Institution – Agar aapki company hai, ya koi organization hai, ya phir koi institute hai jiske liye page banana hai to iss category ko select kare.
  • Brand or Product – Apne perticular brand ya product ki publicity ke liye iss category ko chune.
  • Artist, Band or Public Figure – Apne talent, aur musical group ya phir kisi celebrity ko share karne ke liye iss category ko select kare.
  • Entertainment – Entertainment sources jaise music, books, movies etc share karne ke liye yeh category choose kare.
  • Cause or Community – Iss category ko choose karke hum ek community page bana sakte hai, aur iss community ke sabhi members usme apni post share kar sakte hai, jabki dusri categories me ye option nahi hai.

Agar aap abhi category decide nahi kar pa rahe hai to koi bhi choose kar sakte hai, baad me isse change kiya jaa sakta hai.

 

 

Website ke liye page banana chahte hai to brand or product category ko select kare.

 

 

  1. Dropdown par click karke website select kare.
  2. Page ka name dale.
  3. Get started button par click kare.

 

 

  • ??Facebook Friendlist Ko Hide Kaise Kare

Step 3

Ab next window me about page discription bhare.

  1. Apne page ke baare me likhe, 155 characters tak likh sakte hai.
  2. Apni website ka url dale.
  3. Facebook page url set kare, ya phir isse ignore kar sakte hai.
  4. Save info button par click kare.

 

 

Step 4

Ab agle setup me profile picture upload karni hai.

  1. Upload from computer par click kare aur apne pc se apni profile picture select kare, ya website se photo select karne ke liye import from website par click kare.
  2. Save photo button par click kare.
  3. Profile picture ko abhi upload nahi karna hai to skip button dabaye, baad me bhi upload kar sakte hai.

 

 

Step 5

Ab add to favourites option set kare.

  1. Agar apne page ko fb homepage par add karna hai to add to favourites button par click kare.
  2. Ya phir abhi skip bhi kar sakte hai.

 

 

Step 6

Ab next window me aap apne page viewers ko set kar sakte hai.

 

  1. Locations – me aap set kar sakte hai ki kis country ya city ke log aapke page ko dekh payenge, sabhi ko show karana hai to everyone in this location rehne dijiye.
  2. Age – yaha par set kar sakte hai ki kis age group ke log aapke page ko dekh sakte hai.
  3. Gender – Kisi perticular gender ko choose kar sakte hai ya phir all rehne dijiye.
  4. Interests – Apne interest se related categories select kar sakte hai.
  5. Languages – isse blank rehne dijiye.
  6. Save ki button par click kare.
  7. Agar aap sabhi ko page show karana chahte hai to skip button dabaye.

 

 

Finally aapka page bankar ready ho chuka hai, next window me aap page ko dekh sakte hai, niche image dekh sakte hai.

 

Lijiye dosto ab humne new facebook page banana jaan liya hai, agar phir bhi isme koi problem aa rahi hai to aap comment ke through apne savaal puch sakte hai.

Agar ye post acchi lagi ho to isse social media par apne dosto ke sath share karna na bhule, aur top rightside me humare facebook page ko like bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (3)

  • Sir नमस्कार आप से एक request है कि मेरा पेज dr pawan singh diwakar use admin me.tha vo mere mistek se khud remove ho gyaa use admin aab koi nhi use fir khud ko admin kese banau plz sir batao

    • Iske liye aapko Facebook support team se contact karna hoga aur bataye Gaye steps ko follow karna hoga