Facebook Page Delete Kaise Kare Hindi Me Puri Jaankari
Pichli post me humne jana ki facebook page kaise banate hai, aur page banane ke baad uspar auto reply kaise start kare. Lekin agar aapne apne facebook account me faltu ke page bana diye hai, aur unko delete karna chahte hai to aaj hum aapko batayenge ki facebook page delete kaise karte hai.
Jitna simple facebook me fan page create karna hai, utna hi aasaan facebook page ko delete karna bhi hai. Lekin agar aapne ek bar apna facebook page delete kar diya to ye wapas nahi aayega. Isliye delete karne se pehle ek baar soch lijiye.
Iska ek alternate option ye hai ki aap apne fb fan page ko unpublish kar dijiye, isse aapka page hide ho jayega aur logo ko show nahi hoga. Aur agar aap page ko permanently delete hi karna chahte hai to iske liye niche diye steps ko follow kare.
Facebook Page Delete Kaise Karte Hai
Step 1
Sabse pehle apne facebook account me login kare.
- Top rightside me dropdown icon par click kijiye.
- Dropdown par click karte hi, aapka facebook page show hoga, isme click kare.
Step 2
Ab aap apne facebook page me pahuch jayenge, isme settings par click kare.
Step 3
Next window me facebook fan page ki settings open hogi.
- General par click kare.
- Thoda sa scroll down kare aur bottom me Delete your page ke link par click kare.
Step 4
Ab ek popup open hoga, isme delete button par click kare.
Step 5
Ek or page delete ka popup open hoga, isme OK button par click kare.
Lijiye aapka facebook fan page ab permanently delete ho gaya hai, ek baar check kar lijiye.
Ye Bhi Padhe
- Facebook Me Apna Profile Name Change Kaise Kare
- Facebook Autoplay Video Feature Ko Disable Kaise Kare
- Apna Facebook Account Permanentely Delete Kaise Kare
- Facebook Friendlist Ko Hide Kaise Kare
- Apna Facebook Group Kaise Banate Hai
- Facebook Friend Request Ko Disable Kaise Kare
I hope aapko facebook page delete karne ki ye jaankari acchi lagi hogi, aapko koi saval hai to apna comment jarur karke puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.
Bahut Badiya Jankari Share Kiye Hain Ramesh Ji. Facebook Page Delete Karna Thoda Muskil Kaam Hota Hain Lekin Apne Achhe Tarika Se Samjhaya Hain,,,
thanks
Bhai aap mujhe ek link do facebook page delet karne ke liye
page delete karne ke liye diye gaye steps follow kijiye
bahut hi badhiya jankari di aapne thank you sir
welcome
Mera Qwearty keypad phone h usme kaise delete kare?
Mera Qwearty keypad phone h usme maine fb par story page ko delete kaise kare?
facebook page open kare aur top rightside me 3 dots ke icon par click kare, iske baad edit setting me jaye, general par click kare, thoda scroll down kare aapko page delete karne ka option mil jayega.
thanku vry much
waise aap achcha kaam karte ho sbki help karke
welcome
fb pr name kaise change hoga bina 60day hue
Niche diye link ki help se change kar sakte ho
https://m.facebook.com/hacked
mera fb page me setting nahi aa raha hai
top rightside me “help” tab ke pass check kijiye
nhi ho raha hai sir plz
Iss process me aprx 1 se 2 week kar Sakta hai tab tak wait kijiye
thank you sir
aap bahut achhe se step by step guide karke post likhe hai
thank you somuch
welcome
Nice information sir