Facebook Ka Password Change Kaise Kare
Agar aap facebook user hai to apne facebook account ki security ka bhi aapko dhyan rakhna chahiye, facebook login id change kaise karte hai, ye to pichli post me hum jaan gaye hai, aur ab hum janenge ki facebook ka password change kaise kare.
Facebook Ka Password Change Kaise Kare
??Facebook Aur Twitter Ko Connect Kaise Kare
Step 1
Sabse pehle apne facebook account me login kare, aur settings me jaye.
- Top rightside me dropdown icon par click kare.
- Settings par click kare.
??Facebook Page Banakar Paise Kaise Kamaye
Step 2
Setting par click karte hi agle page me aap general account setting me pahuch jayenge, ab password ke samne edit link par click kare.
??Facebook Me Friend Request Disable Kaise Kare
Step 3
Ab ek form open hoga.
- Apna pichla password enter kare.
- New password dale, aur password ko strong banane ke liye alphabets aur numeric dono ka use kare.
- Apne naye password ko dubara se enter kare,
- Sahi se detail bharne ke baad finally Save Changes button par click kar dijiye.
??Facebook Group Kaise Banate Hai
Step 4
Ab ek popup khulega, isme aap se pucha jayega ki logged in rehna hai ya sabhi devices se log out karna hai, to yaha par me aapko log out option choose karne ko suggest karunga, jo ki aapke facebook account ki security ke hisab se ekdum sahi hoga.
- Log out of other devices ke tick box me tick kare.
- Continue button par click kare.
Continue button par click karte hi aapka new password change ho jayega, ab check karne ke liye ek baar apne account se logout kar ke dubara se login kare.
??Facebook Ki Puri Jankari Ke Liye Yaha Click Kare
I hope aapko ye jaankari facebook ka password change kaise kare, pasand aayi hogi, aur aage bhi nayi jaankari pane ke liye humare blog ko subscribe karna mat bhuliye.
Agar aapko ye jaankari helpful lage to isse social media par apne dosto ke sath share jarur kare, aur post se related aapka koi bhi saval ho to comment ke through sidhe humse puch sakte hai.
Sir apna fb password bhul gya hu jb forgot password p click kr rha hu to I can’t access my profile ka option aa rha h kaise id opn kre plz help me sir email m mai apna nmbr dala hu
account banate time aapne koi recovery email add hai to uska use karke bhi aap apna fb password pata kar sakte ho. otherwise without phone aur email ke ye muskil hai, security reasons ki vajah se.