X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Account Security Ko Strong Kaise Banaye

Facebook account security ko strong kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap facebook user hai aur apne facebook account ko more safer aur more secure banana chahte hai to iss post me batayi gayi 3 security settings ko on jarur kar lena.

Facebook ek top social media platform hai aur millions users facebook ka use karte hai, aise me aaye din kai fb users ke accounts hack ho jate hai kyunki vo apne facebook account par jaruri security settings ko enable nahi karte hai.

Hackers issi baat ka fayda uthakar aise logo ka facebook account hack kar lete hai jo jaruri security features ko apne account par on nahi karte hai kyunki unhe inn useful security settings ke bare me pata nahi hota hai.

Mostly log jo facebook use karte hai ya fir new users ko facebook ki inn security settings ko use karne ki koi jankari nahi hoti jiski vajah se unka facebook account unsecure rehta hai aur koi bhi hacker easily unka account hack kar leta hai.

Aise me agar aap bhi facebook ki inn jaruri security settings ko use karne ke bare me nahi janate to iss post me aapko iski jankari ho jayegi isliye apne facebook account par inn jaruri security features ko on karne ki jankari ke liye niche diye easy steps follow kare.

Facebook Account Security Ko Strong Kaise Banaye

1 Sabse pehle Facebook open kare.

2 Iske baad top right corner me 3 lines par click kare.

3 Ab facebook menu page me bottom side me Settings and privacy option par click kare.

4 Iske baad Settings option par click kare.

5 Ab settings page me top side me hi account section me Password and security option par click kare.

6 Iske baad kuch aur options aayenge jinme aapko niche bataye gaye 3 features ko enable karna hai.

Get Alerts about Unrecognised Logins

Iss option ko enable karke aap apne facebook account par unknown logins ka alert pa sakte hai isliye iss feature ko on karne ke liye niche diye steps

  • Sabse Get alerts about unrecognised logins option par click kare
  • Iske baad next interface me Notifications option par click kare.
  • Ab next interface me Get notifications option ko enable karke Save option par click kar dijiye.

Choose 3 to 5 Friends to Contact if You Are Locked Out

Iss option ko ke through aap apne facebook account me apne trusted contacts add kar sakte hai aur ek extra account recovery method add kar sakte hai.

Agar aapka account hack hota hai ya lock ho jata hai aur aap account access nahi kar pate hai to iss condition me account recovery options jaise ki registerd phone number aur email se account recover kar sakte hai.

Lekin hacker ne ye information change kar di ho to iss option ko enable karne ke baad aap apne trusted contacts me se kisi bhi contact ki help se apna account recover kar sakte hai uske account me security code bhijwakar.

Isliye jo bhi trusted contacts aap add karenge vo aapke khas friends ya family members hone chahiye jinse contact karke aap security code puch sakte hai.

  • Sabse pehle Choose 3 to 5 friends to contact if you are locked out option par kare.
  • Ab next interface me Choose trusted contacts option par click kare.
  • Iske baad aapki facebook contact list open ho jayegi to isme se 3 se 5 friends ko select kare.
  • Trusted contacts select karne ke baad top right corner me Done option par click kar dijiye.

Safe Browsing

Iss option ko enable karke aap facebook par safe browsing kar sakte hai facebook use karte huye kisi unknown aur spam link par click karne par aapko facebook ki taraf se warning mil jayegi ki yeh ek dangerous aur mislead karne wali website hai jisme kisi bhi tarah ki purchasing karne par aapko loss ho sakta hai.

  • Safe Browsing option par click kare.
  • Next interface me Display a warning if you attempt to navigate to a potentially dangerous or deceptive website via facebook option ke samne check box pr tick kar dijiye.

Iss tarah se aap facebook par inn teeno hi features ko enable karke apne account ki security ko aur bhi jyada strong bana sakte hai isliye ye sabhi settings ko on jarur kar lijiye.

I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook account ki security ko increase kaise karte hai agar aap aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Video Dekhe

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More