Facebook account kaise delete kare iss post me hum janenge so agar aap kisi vajah se apne facebook account ko delete karna chahte hai, to iss post me bataye gaye easy steps ko follow karke aap aasaani se apna fb account permanently delete kar sakte hai.
Facebook me account create karna jitna aasaan hai utna hi aasaan apne fb account ko delete karna bhi hota hai, aap kabhi bhi apne facebook profile ko permanently delete kar sakte hai, agar aap nahi jante ki fb account permanent delete kaise karte hai to niche diye steps follow kare.
Facebook Account Kaise Delete Kare
1 Sabse pehle Facebook app open kare.
2 Iske baad top right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab fb menu page me top me hi Settings gear icon par click kare.
4 Iske baad fb settings me Account centre option par click kare.
5 Account centre me Personal details option par click kare.
6 Iske baad next page me Account ownership and control option par click kare.
7 Ab next interface me Deactivation or deletion option par click kare.
8Iske baad apne Profile name par click kare.
9 Ab next interface me Delete account option ko select karke Continue option par click kare.
10 Iske baad account delete karne ka Reason select karke Continue option par click kare.
11 Ab next interface me Notifications manage karne ka option aayega yahapar Continue option par click kare.
12 Iske baad account Data download or transfer karne ka option aayega yahapar bhi Continue option par click kare.
13 Ab next interface me apna Facebook password enter karke Continue option par click kare.
14 Iske baad final Confirmation mangi jayegi yahapar finally Delete account option par click kar dijiye.
Delete account option par click karne ke baad aapka facebook account delete ho jayega, lekin abhi aapka fb account permanently delete nahi hua hai sirf permanently delete hone ke liye schedule hua hai.
Iss process ko karne ke baad 30 dino ka time aapko milega, 30 days ke baad aapka fb account permanently delete ho jayega.
Inn 30 days me aapka mind change hota hai aur aap apne account ko wapas recover karna chahenge to fir se apne fb account me login karke apna facebook account permanent delete hone se bacha sakte hai.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki facebook account kaise delete karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.