X

Facebook Account Deactivate Kaise Kiya Jata Hai

Dosto aaj ka humara topic hai ki facebook account deactivate kaise karte hai, dosto kabhi aisi situation aa sakti hai ki hume apna facebook account disable karna pade, to kaise kare ye hum aapko batane jaa rahe hai.

Ho sakta hai ki exam ke karan, kisi problem ya kisi aur karan se aapko apna facebook account kuch dino ke liye deactivate karna pade, aur kuch time baad apne account ko phir se reactivate kar sake to iske liye niche diye simple steps ko follow kajiye.

Facebook Account Deactivate Kaise Karte Hai / How to Deactivate Facebook Account

 

??Facebook Page Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kare.

  1. Top rightside me dropdown icon par click kijiye.
  2. Settings me click kare.

 

 

??Facebook Page Me Auto Reply Kaise Start Kare

Step 2

Ab aapke samne facebook settings page open hoga.

  1. Security par click kare.
  2. Deactivate your account ke samne edit par click kare.

 

 

??Facebook Me Friend List Ko Hide Kaise Kare

Step 3

Edit par click karte hi facebook account disable karne ka option khulega, isme deativate your account link par click kare.

 

 

??Facebook Timeline Tags Ko Disable Kaise Kare

Step 4

Iske baad agle page me continue karne ke liye password enter karna hai.

  1. Apna password bhare.
  2. Continue button par click kare.

 

 

??Continue Reading Link Kaise Add Kare Facebook Trick

Step 5

Ab next page me aapse facebook account deactivate karne ke liye pucha jayega.

  1. Inme se koi bhi reason choose karke tick kare.
  2. Deactivate button par click kar dijiye.

 

??Facebook Photo Par 5 Minute Me 10000 Likes Kaise Badhaye

Step 6

Ab ek popup open hoga, isme Deactivate Now button par click kare.

 

Ab aapka facebook account deactivate ho chuka hai, lekin account temporary basis par desable hoga, in-future apna facebook account dubara se login karenge to ye re-activate ho jayega.

Video Dekhe

 

Humare Facebook Page Ko Like Karne Ke Liye Click Kare

Dosto facebook account deactivate karne ki ye jaankari aap samajh gaye honge, phir bhi koi dikkat aaye to apne comment ke dwara humse puch sakte hai.

Aur agar ye jaankari aapko pasand aayi ho to isse social networking sites par apne dosto ke sath share karna bilkul mat bhuliyega.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (4)