X
    Categories: FACEBOOK

Facebook Account Block Hone Ke 10 Reasons Or Mistakes Kaun Kaunse Hai

Facebook account block hone ke 10 reasons or mistakes kaun kaun si hai. Jinke vajah se aapka facebook account block ho sakta hai. Aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To Agar aap janana chahte hai ye 10 galatiyon ke bare me to iss post ko dhyan se padhe.

Agar facebook par aapka account hai to aapke account ki safety aur account detail ki privacy ka facebook puri tarah se khyal rakhta hai. Aise me facebook ki jo terms and conditions unko hume sahi se follow karna chahiye. Agar aap aisa nahi karte hai to aapka facebook account block ho sakta hai. To chaliye ab jaan lete hai unn 10 galatiyo ke bare me jinki vajah se aapka fb account block ho sakta hai.

Facebook Account Block Hone Ke 10 Reasons Or Mistakes Kaun Kaunse Hai

Facebook account block hone ke jo 10 mistakes hai unke bare me niche detail se bataya gaya hai. Isliye inn sabhi reasons ko dhyan se padhe. Aur jane agar aap ye mistakes karte hai to kyu aapka facebook account block ho sakta hai.

#1 Fake Account Create Karna

bhot se log facebook par kisi na kisi galat irade se fake account create kar lete hai. aur fir other users ko preshan karte hai. facebook par fake account create karna facebook terms & conditions ke khilaf hai. Aur agar facebook ne fake account ko ignore bhi kar diya to bhi koi na koi user aise accounts ko report kar sakta hai. Aur agar facebook ko aapke fake account ka pata chal jata hai. Ya fir koi user aapke fake facebook account ki report kar deta hai. To aapka account block kar diya jayega.

#2 Comment Me Galat Language Use Karna

Mostly facebook users aise hai jo kisi dusre user ki post par objectional comments ya gali galoch karte hai. Jo ki facebook rules ke against hai. Lekin kai baar ye invalid activities facebook ki najar me nahi aati hai. But agar kisi ne aapke galat comments ki report facebook me kar di to aapka account band kar diya jayega. Aur dubara se account activate karne me aapko kafi mushkilo ka samna karna pad sakta hai.

#3 Innapropriate Post Karna

Facebook par innapropriate post kana facebook terms and conditions ke sakht khilaf hai. Aur kisi bhi tarah ka galat content aap facebook par share nahi kar sakte hai. Aur agar aap koi galat photo, videos post karte hai. To facebook apne filter system se isse detect kar lega. Yani ki aap jo kuch bhi facebook par share kar rahe hai. Usme kisi tarah ki nudity nahi honi chahiye. Koi bhadkau bhashan ya fir gali galoch ka use nahi hona chahiye.

Kisi religion or cast ya fir byakti vishesh ke against koi objectional content nahi hona chahiye. Aur koi murder ya fir kisi bhi tarah ka khoon kharabe wala content nahi hona chahiye. Agar aap facebook par post karte time inn sabhi rules ke khilaf jate hai. To confirmly aapka facebook account block kar diya jayega. Isliye iss tarah ki galat content ko facebook par share na kare.

#4 Bar Bar Wrong Password Enter Karna

Agar aap facebook me login kar rahe hai aur password bhul gaye hai. Lekin iske baad bhi aap galat password ko bar bar dalkar facebook me login karne ki koshish rahe hai. To ye aapki sabse badi bhull ho sakti hai kyuki aisa karne se facebook ko lagta hai ki koi other user aapke account ko open karne ki koshish kar raha hai. Aur aise me facebook aapke account ko block kar sakta hai. Jo ki ek tarah se thik bhi hai, isliye agar aap apne facebook account ka password bhul chuke hai to bar bar galat password enter karne ke bajay better hoga ki aap forgot password option ka use kare. Aur apna facebook password reset kar lein.

#5 Limit Se Jyada Friends Banana

Facebook me koi bhi user 5000 se jyada friends nahi bana sakta hai. Agar aap apni facebook friendlist me isse jyada friends ko add karne ki koshish karte hai. To aapka facebook account block ho sakta hai. Isliye agar aap fb friends ki limit ko complete kar chuke hai. To better hoga ki aap koi group create kare or usme apne sabhi friends se jude. Aisa karne se aapka facebook account safe bhi rahega. Aur group me unlimited friends ke sath aap connect bhi reh sakte hai.

#6 Limit Se Adhik Groups Join Karna

Bhot se facebook users aise hai jo popularity ke liye ya fir kisi aur vajah se jyada groups join kar lete hai. Aise me agar aap 200 + groups ko join karte hai. To facebook aapke account ki verification karne ke liye action leta hai. Aur agar aap facebook verification process ko complete kar lete hai. To aapka account normaly run karne lagta hai. Iske baad bhi agar aap koi other group join karte hai. To aapka account block ho sakta hai isliye facebook par limit se adhik groups join karne se door rahe.

#7 Same Content Copy Paste Karna

Agar aap same contents ko kai sari facebook post par share karte hai. Ya kai sare friends ki timeline Ya fir ek hi message ko dher sare groups me copy paste karte ho. To isse facebook spam activity samajhta hai aur aisa karne par aapka account block bhi ho sakta hai.

#8 Jarurat Se Jyada Poke Karna

Facebook friends ko jarurat se jyada poke karna aapke aapke account ke liye problem create kar sakte hai. Aur agar aap baar baar aisa karte hai to aapka account block ho sakta hai. Isliye jyada poke karne se pehle ek baar soch lijiye.

#9 Ek Sath Multiple Group Me Post Karna

Agar aap ek sath same content ko multiple groups me share karte hai. To facebook isse spam activity samajh sakta hai aur aapke account ko block kiya ja sakta hai.

#10 Misrepresentation

Yadi aapne facebook par individual profile create kiya hai, aur usse kisi business promotion ke liye use kar rahe hai. To bhi aapka facebook account bina kisi warning ke block kar diya jayega. Kyuki ye facebook ki terms and condition ke khilaf hai. Aap apne facebook profile ko kisi product ki sale ya promotion ke liye isetemal nahi kar sakte hai. Agar aap aisa karna hi chahte hai to iske liye better hoga ki aap facebook par ek business page create kare.

So friends ye vo 10 mistakes hai jinki vajah se aapka facebook account block ho sakta hai. Isliye agar aap apne facebook account ko safe & secure rakhna chante hai. To upar batayi inn 10 galatiyo ko bilkul bhi na kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More