X

Excel Keyboard Shortcuts Kya Hai Excel Shortcut Keys Ki Puri Jankari

Excel shortcut keys kaun kaun si hai aur excel keyboard shortcuts ka use kaise karte hai iske bare me mein iss post me bata raha hu. Agar aap excel me kaam karte hai to aapko inn excel shortcut keys ke bare me pata hona chahiye. Excel shortcut keys ka use karke aap advance excel me apne kaam ko aasaan bana sakte hai. Aur apna kaafi time bhi save kar sakte hai to chaliye start karte hai.

Excel ke bare me aap janate hi honge microsoft excel ek spreadsheet hai. Aur calculation, graphing tools, pivot tables, aur macro programming etc iske kuch common features hai . Aur aaj hum janenge microsoft excel shortcut keys ke bare me, jinko niche di gayi list me dekh sakte hai.

Excel Keyboard Shortcuts Kya Hai Excel Shortcut Keys Ki Puri Jankari

Niche kuch most popular excel shortcut keys ki list mein aapke sath share kar raha hu. Jinka use karke aap apne excel work ko aur bhi fast aur easy bana sakte hai. To chaliye jyada time na lete huye inn microsoft excel shortcut keys ke bare me janate hai.

 

Excel Shortcut Keys List

 

Shortcuts

Description

F2 Selected cell ko edit karne ke liye.
F3 Name manager me name create karne ke baad range select kare.
F4 Other cells ke background colour, text colour, or formating etc ko current cell me repeat kare | Or Freeze formula range.
F5 Excel worksheet me kisi bhi cell me direct pahuchne ke liye, jaise A4, B2, C1, A2 etc.
F7 Selected text or contents ki spell check kare.
F11 Data ka chart create kare.
F12 Current workbook ko different name se save karne ke liye.
Alt + F  A File save as kare.
Alt + F  X Excel ki sabhi files ko ek sath close kare.
Alt + F  C Excel ki current file ko close kare.
Alt + Shift + F1 Current workbook me new worksheet insert kare.
Alt + Enter Cell me mojud text ko multiple lines me break kijiye.
Alt + = Columnwise or rowwise sum formula add kare.
Alt + V Z Zoom option open kare.
Shift + F3 Formula box ko open karne ke liye.
Shift + F5 Find and replace box open kare.
Shift + Space Row select kare.
Shift + F11 Current workbook me new worksheet insert kare.
Shift + Ctrl + Page Down Current worksheet aur next worksheet ko select kare.
Shift + Ctrl + Page Up Previous worksheet ko select kare, current ke sath.
Shift + Left Mouse Click Current cell se last select cell tak select all kare.
Shift + Down Aero Current cell se down row ko select kare.
Shift + Up Aero Upper row ko select kare, current cell ke sath.
Shift + Right Aero Current selected cell se right column cells ko row wise select kare.
Shift + Left Aero Current selected cell se Left column cells ko row wise select kare.
Ctrl + Shift + Down Aero Current cell se bellow sabhi cells ko select kare.
Ctrl + Shift + Up Aero Current selection ke above sabhi cells ko select kare.
Ctrl + Shift + Right Aero Rightside me sabhi cells ko select kare. Current selection ke sath.
Ctrl + Shift + Left Aero Current selection ke leftside sabhi cells ko select kare.
Ctrl + Shift + 1 Numerics ko comma format me kijiye.
Ctrl + Shift + 4 Numbers me currency add kare.
Ctrl + Shift + 3 Numbers ko date me convert kare.
Ctrl + Shift + 5 Numerics ko percentage% formate me show kijiye.
Ctrl + Shift + 6 Numbers ko scientific format me dikhaye.
Ctrl + Shift + 2 Numbers ko time me convert kijiye.
Ctrl + Shift + L Filter lagaye.
Ctrl + Shift + ; Cell me current time enter kare.
Ctrl + Shift + = Column/row ko insert kare.
Ctrl + Left Mouse Click Multiple cells ko select kare. Current cell ke sath sath.
Ctrl + 1 Format Cells box ko open kare, aur selected cell ka format change kare.
Ctrl + 5 Text ke center me erase line show kare.
Ctrl + A Excel sheet me available data or puri worksheet select kare.
Ctrl + B Excel cells, list or table ke text (data) ko bold highlight kare.
Ctrl + C Data copy kare.
Ctrl + H Replace text.
Ctrl + I Excel cells, list or table ke text (data) ko italic highlight kare.
Ctrl + K Web address insert kare.
Ctrl + L/Ctrl T Table create kare.
Ctrl + N New workbook create kare.
Ctrl + O Exiting workbook open kare.
Ctrl + S Current excel worksheet ko save kare.
Ctrl + U Text ko underline mark kijiye.
Ctrl + V Data paste Kare.
Ctrl + P Data ko print karne ke liye printing option open kare.
Ctrl + W Excel worksheet close kare.
Ctrl + X Data cut Kare.
Ctrl + Z Undo kare.
Ctrl + Y Redo kare.
Ctrl + F3 Name manager open kare.
Ctrl + F9 Excel window ko minimize kare.
Ctrl + F10 Excel window ko maximize kare.
Ctrl + F6 Ek se dusri excel workbook me switch kare.
Ctrl + Page up Excel workbook me pichli sheet me jaye.
Ctrl + Page down Excel workbook me agli sheet me jaye.
Ctrl + Tab Alag Alag excel file me jaye.
Ctrl + ‘ Selected cell me above cell ka data insert kare.
Ctrl + ; Cell me current date enter kare.
Ctrl + R Selected cell me left cell ka data insert kare.
Ctrl + D Selected current or multiple cells me above cell ka data insert kare.
Ctrl + Arrow key Above/bellow, next/back direct text me pahuche.
Ctrl + Space Column select kare.
Ctrl + – Selected row/column ko delete kare.
Ctrl + + Selected row/column ko delete kare.
Ctrl + Home Direct cell number [A1] me jaye.
Ctrl + ~ Excel formulas ko show aur hide kare.

Ye Bhi Padhe

 

I hope aapko excel keyboard shortcuts ki jaankari helpful lagi hogi. Aur ab aap ye to jaan hi gaye honge ki excel shortcut keys ki help se aap kya kya kar sakte hai. Agar aap inke bare me apna sujhav dena chahte hai to comment kare. Aur agar ye post pasad aayi ho to isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (13)