X

Excel Formula Me Symbol Add Kaise Karte Hai In Hindi

Dosto aaj ki post me hum janenge ki advance excel formula me symbol add kaise karte hai. Symbols aap insert function ke under symbol tab me dekh sakte hai. Aur apni command ke hisab se choose kar set kar sakte ho. Symbol se table ko ek alag look milta hai aur ye dekhne me bhi accha lagta hai. To chaliye ab step by step janate hai ki kaise excel formula me symbol add karte hai.

Excel Formula Me Symbol Add Kaise Kare In Hindi

Excel formula me simbol add karne ke liye sabse pehle hum ek table bana lete hai. For example kuch students name, marks aur unke marks ke according unka result iski ek table bana lete hai. Ab iss table me jo formula add hoga vo result ki field me hoga. Aur formula me hume ek criteria set karna hai. Jaise ki agar student ke marks 100 se kam hai to cross ka symbol show ho. Aur jyada ho to right ka symbol show jaye. Issi criteria ke according formula me symbol add kaise karte hai chaliye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle excel worksheet me student name, marks aur result ki heading ke sath ek table banaye. Jaisa ki aap niche image me dekh sakte ho.

Step 2

Ab insert tab me jaye aur cross aur right ka simbol ek notepad me copy kar ke rakh lijiye.

Step 3

Ab aapko table me result ki field me ye formula lagana hai. =IF(B2>100,”yaha right symbol pest kare“,”yaha cross ka symbol pest kare“) niche image dekhe.

 

Lijiye ab aap dekh sakte hai ki result ki field me students ka result cross aur right symbol ke according show ho raha hai. Yani ki criteria ke according jin students ke marks 100 se kam hai unka result cross (fail) hai. Aur 100 se jyada marks wale student ka result right (pass) hai. Issi tara se aap kisi bhi formula me koi bhi symbol add kar sakte hai, niche image dekhe.

Dosto ye to tha excel formula me symbol add karne ka tarika. Ab jante hai ki symbol wise color ko kaise set karte hai. Isse aap apne according customize kar sakte ho. For example hum right ke symbol ke liye yellow background set karenge. Iske liye niche diye steps follow kare.

Step 1

Right ke symbol ko other color me set karne ke liye niche diye steps follow kare.

  1. Sabhi formula wale column ko select kare.
  2. Conditional formating ke tab par click kare.
  3. New rule par click kare.

 

Step 2

Ab ek new formatting rule ka box open hoga isme niche diye steps follow kare.

  1. Format only cells that contains par click kare.
  2. Yahapar cell value select kare.
  3. Isme equal to select kare.
  4. Yahapar right ke symbol ko copy kar paste kar dijiye.
  5. Format ke button par click karke aap apne according color choose kar sakte ho. Yahapar meine yellow color select kiya hai preview me dekh sakte hai.
  6. OK button par click kare.

 

Lijiye ok button par click karte hi aap dekh sakte ho ki jitne bhi right ke symbol hai. Vo sabhi yellow background me show ho rahe hai, image dekhe.

 

Issi tarah se aap kisi bhi excel formula me symbol add kar sakte ho.

I hope aapko excel formula me symbol add karne ki ye jankari pasand aayi hogi. Agar aapko iss post se related koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye jaankari aapko helpful lagi ho to isse apne dosto ke sath bhi share kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More