ANDROIDGOOGLE

How to Enable Night Mode for Google Chrome on Android

How to enable night mode for google chrome on android mobile phone. Yani ki android mobile phone me google chrome par night mode ko enable kaise karte hai. Aaj ki iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap jyadatar night me apne mobile par google chrome web browser use karte hai to iss ye post aapke liye hi hai.

Kyuki night me mobile use karne par brightness ki vajah se humari aakhon par bura asar padta hai. Aise me agar aap apne mobile ki screen ko dark mode me use karte hai. To kaafi had tak aap apni aakhon ko protect kar sakte hai.

Filhal mein yahapar aapko google chrome ke bare me bata raha hu. Ki android phone me google chrome ko dark mode me kaise use karte hai. Computer ho ya mobile device google chrome sabhi operating systems me sabse pupular browser hai.

Google chrome web browser page ko quickly load karne ke sath best features bhi provide karta hai. Aur kisi bhi tarah ke malware attact se protect karne ke liye isme highest level security available hai.

Computer ya laptop me google chrome web browser ko night mode me use karne ke liye chrome extension available hai. Lekin mobile par google chrome app me aisa koi easy option hai jisse chrome ko darm mode me easily use kiya jaye.

Lekin aaj iss post me mein aapko aisa method batane wala hu jisse aap badi hi aasani se apne android device me google chrome ko night mode me use kar sakte hai. Iske liye bus aapka android device OS 4.0 se se jyada ka hona chahiye.

How to Enable Night Mode for Google Chrome on Android

Agar aapke device ka operating system 4.0 se kam hai to aap iss trick ka use nahi kar sakte hai. How to enable night mode for google chrome on android. Yani ki android mobile phone me google chrome par night mode ko enable kaise kare. Iski puri process janane ke liye niche diye gaye easy steps follow kare.

1.  Sabse pehle apne android device me Google chrome app ko open kare.

2.  Top right side me 3 Dots par click kare.

3. Ab jo option open hone inme se Accessibility option par click kare.

4. Accessibility ke ander bottom side me Simplified view for web pages ke check box me tick kare.

5. Ab google chrome web browser me koi bhi Web page ya site open kare.

6. Website open hote hi bottom side me Show simplified view ka option aayega ispar tab kare.

7. Ek baar fir se top right side me 3 Dots par tap kare.

8. Ab kuch option aayenge isme Appearance par tap kare.

9. Ab ek popup open hoga isme 3 option Light, Dark aur Sepia aayenge. 

10. Chrome browser ko night mode me use karne ke liye Dark option ko select kare.

Lijiye dark option par tap karte hi aapka google chrome app ki theme dark ho jayegi. Aur ab aap chrome ko night me use kar sakte ho. Aur apni aakho ko brightness se hone wale nuksan se protect kar sakte ho. Iske sath hi aap isme font ko apne according chhota bada bhi kar sakte hai. 

How to enable night mode for google chrome on android mobile phone. I hope ab aap samajh hi gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lage to isse apne friends ke sath social sites par share jarur kare.

 

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.