Duplicate Google Contacts Merge Kaise Kare
How to find and merge duplicate google contacts yani ki duplicate google contacts merge kaise kare iss post me hum janenge so agar aap android phone user hai aur apne phone ke sabhi duplicate Contact ko merge karne ke bare me janana chahte hai to iss post ko end tak dhyan se jarur padhe.
Kai baar galati se ya kisi or vajah se humare phone ki contact list me ek hi contact multiple time save ho jata hai, aise me agar bahut saare contacts same name aur number ke sath ya fir same name aur different number ke sath contact list me save ho jaye to sahi contact search karne me problem aa sakti hai.
Isliye better hoga ki contact list me ek contact name sirf ek baar hi save ho, lekin agar galati se multiple duplicate Contacts add ho jaye to unn sabhi duplicate contact ko merge kaise karna chahiye ab iss post me step by step janate hai.
Duplicate Google Contacts Merge Kaise Kare
All duplicate contacts ko merge karne ke liye sabse pehle Jo requirement hai vo ye hai ki aapka apne google account me login hone chahiye aur google contacts par aapke sabhi contacts sync hone chahiye iske baad niche diye steps follow kare.
1 Sabse pehle Google contact ke iss link par click kare.
2 Iske baad next interface me top left corner me 3 lines par click kare.
3 Ab jo options aayenge inme Merge and fix option par click kare.
4 Iske baad next interface me Merge duplicate option par click kare.
5 Ab next interface me aapke sabhi duplicate contacts show ho jayenge to yahapar bottom right corner me Merge all option par click kar dijiye.
Merge all option par click karte hi aapke phone ke sabhi duplicate contacts merge ho jayenge, iss tarah se easily aap ek click me hi apne sabhi duplicate google contacts ko merge kar sakte hai.
I hope ab aap samajh gaye honge ki duplicate contact ko merge kaise karte hai, agar ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.