Instagram account se facebook page disconnect kaise kare iss post me mein aapko batane wala hu, agar aap pehle apne personal instagram account ko business profile me convert kar chuke hai aur apne facebook page ko instagram se connect kar chuke hai aur ab wapas aapne apna business account personal account me switch kar liya to aapka linked fb page instagram se permanently disconnect nahi hota hai.
Aise me aap jab apne personal instagram account ko business account me transfer karenge to jiss fb page ko aapne pehle connect kiya hoga vo wapas reconnect ho jayega, isliye agar aap apne instagram se connected apne facebook page ko permanently remove karna chahte hai to niche diye gaye easy steps ko follow kare.
Instagram Account Se Facebook Page Disconnect Kaise Kare
1 Sabse pehle Instagram app open kare.
2 Iske baad bottom right corner me apne Profile icon par click kare.
3 Ab top right corner me 3 lines par click kare.
4 Iske baad kuch options aayenge to bottom side me Settings option par click kare.
5 Ab next interface me Account option par click kare.
6 Account settins me Connected facebook page option par click kare.
7 Ab next interface me connected facebook page show ho jayega to yahapar Disconnect facebook page option par click kare.
8 Iske baad ek popup open hoga to finally isme Disconnect option par click kar dijiye.
Lijiye aapka kaam ho gaya disconnect option par click karte hi aapka instagram se connected facebook page unlink ho jayega aur iske sath hi account settings me connected facebook page option bhi remove ho jayega, iss tarah se aap easily instagram se connected apne fb page ko permanently remove kar sakte hai.
I hope, aap samajh gaye honge ki instagram account se fb page unlink kaise karte hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath share jarur kare.
Video Dekhe