Facebook Messenger Par Voice or Video Call Band Kaise Kare
Facebook messenger par voice or video call band kaise kare aaj iss post me mein aapko bataunga. Agar aap messenger use karte hai aur isme voice call ya video call ko disable karna chahte hai to iss post me bataye gaye steps ko follow kare.
Agar aap facebook messenger par apni profile open karenge to vahapar aapko koi bhi aisa option show nahi hoga jisse ki aap messenger par voice calling or video calling ko block kar sake. Iske liye aapko apna facebook account open karke iss setting ko disable karna hoga. facebook messenger par voice or video call band kaise karte hai chaliye step by step janate hai.
Facebook Messenger Par Voice or Video Call Band Kaise Kare
1 Sabse pehle chrome browser open kare aur top right corner par 3 dots par click karke Desctop site option ko select kare.
2 Iske baad Facebook ki site open kare aur aur apne facebook account me login kare.
3 Facebook account me login karne ke baad bottom right corner par Chat option par click kare.
4 Ab aapki chat list open hogi to isme top right corner par Settings icon par click kare.
5 Iske baad kuch option aayenge to yahapar second last option Turn on video/voice calls ke option ko select kare.
6 Ab ek popup window open hogi jisme 3 option diye gaye honge to isme aapko last option Until i turn it back on ke option ko select karna hai.
Lijiye iss tarah se aapke facebook messenger par call block ho jayegi aur ab aap apni messenger application se khud bhi call nahi kar payenge aur koi bhi other user aapko bhi faceboom messenger par voice calls aur video calls nahi kar payega.
I hope ab aap samajh gaye honge ki facebook messenger par voice call or video call band kaise karte hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
Fir Bhi call Aa rahe hain?
very nice information and great content sir ji