Digital Marketing Kya Hai Iski Puri Jankari Hindi Me
Digital marketing kya hai iski puri jankari aaj iss post me mein aapko batane wala hu. To agar aap digital marketing ke bare me thoda bahut janate hai. Aur digital marketing ke bare me puri jankari chahte hai to iss post ko padhe. Aur jane ki digital marketing kya hai aur ye kaise kaam karta hai.
Digital Marketing Kya Hai Iski Puri Jankari Hindi Me
Digital marketing vo medium hai jiski help se koi bhi business digital method. Ya online apne customer tak pahuch sakti hai. Digital technology ke through kisi product ya service ki marketing karne ko digital marketing kehte hai. Isse electronic marketing bhi kehte hai aur isme internet, mobile phones. Display advertising aur other digital medium ka bhi use hota hai.
Koi bhi business or websites apne products or services ko digital marketing ke through promote kar sakti hai. Aur jyada se jyada logo tak pahucha sakti hai. Aur apne business ko aur bhi jyada improve kar sakti hai.
Search Engine Optimization (SEO) Ke Different Types in Hindi
Benefits Of Digital Marketing
Agar aap apne business ko promote karne ke liye internet market ka use nahi karte hai. To business ki growth kaam slow hogi. Business ko sahi dhang se badhane ke liye electronic marketing ka use karna hi hoga. Tabhi sahi tarike se koi bhi business grow kar sakta hai. Internet marketing kai sare benefits me kuch iss tarah se hai.
- Kisi bhi business, products or services ko right customers tak smart tarike se easily pahucha sakte hai.
- Kisi products or services ko promote karne me kafi kam effort lagta hai.
- Promotion instantally ho jata hai.
- Promotion ko analysis kar sakte hai. Daily, monthly, yearly growth rate check kar sakte hai.
- Return of investment (ROI) mil sakta hai. Jitna aap apne business ko promote karne ke liye invest karte hai. Usse kai guna jyada aap business revenue generate kar sakte hai.
- Goal setting, funnel visualization, demography se insights check kar sakte hai.
- Digital marketing se aap apna keemti time aur paisa dono ki saving kar sakte hai.
Types Of Digital Marketing
Digital marketing ke kai sare methods hai jaise ki search engine optimization (SEO). Content marketing, search engine marketing (SEM), social media marketing, social media optimization. Email marketing, display advertising, e-book etc. Lekn iss post me hum janenge niche diye digital marketing ke 8 types ke bare.
#1 Social Media Marketing
Digital marketing ke liye social media aaj kisi vardan se kam nahi hai. Aap apni business or service ko social media par share karke. Usse aur bhi jyada popular bana sakte hai. Aur apne business circle se bahar bhi jyada se jyada costomer receive kar sakte hai. Apne business ke bare me aap logo tak awareness pahucha sakte hai. Aur apni website par huge quality traffic pa sakte hai. Aap apne business ko promote karne ke liye inn top social sites ka use kar sakte hai.
- Facebook.
- Twitter.
- Google+.
- Likedin.
- Instagram.
- Pinterest.
- Snapchat.
- etc
#2 Search Engine Marketing (SEM)
Search engine marketing (SEM) apne business ko customer tak pahuchane ke liye ek paid method hai. SEM ke through sabhi search engines jaise google search. Yahoo aur bing search etc par ads laga kar paid traffic pa sakte hai.
#3 Search Engine Optimization (SEO)
Search engine optimization (SEO) ek aisa unique tarika hai. Jiske through aap apni website ko optimize karke usse top rank me la sakte hai. Aur apni site par quality aur organic traffic pa sakte hai vo bhi bilkul free. SEO setup karne se aapki sites search engine me top rank par aayegi. Jisse ki site ki traffic rank high hogi. Aur jab site par organic traffic badhega to aapka business bhi badhega. Jo ki digital marketing ke liye bahut jaruri hai. Search engine optimization (SEO) se niche diye assets ko benefits milta hai.
- Blog
- Websites
- Infographics
#4 Email Marketing
Companies apne customers tak pahuchne ke liye email marketing ka use karti hai. Aap bhi apni email inbox me other companies ke content promtion. Discounts, events ki mails receive karte honge. Actually ye ek tarh se email marketing hai jiske through aap uss compnay ke website par pahuch jaye. Issi tarah se aap bhi email marketing ke through apne customers apni site par divert kar sakte hai.
#5 Affiliate Marketing
Affiliate marketing ek performance based advertising hai. Iss method me aap apni website par kisi aur ke products/service ko promote karke commission pa sakte hai. Aap affiliate links apni social sites par post kar sakte hai. Aur youtube par hosting video ads ke through affiliate link share kar sahte hai.
#6 Content Marketing
Digital marketing ke type content marketing se bhi aap kisi business or service ko promote kar sakte ho. Content marketing ek aisi technique hai jiski help se aap website ki traffic ke sath sath. Right customers ko right service ke bare me jankari dekar sale badha sakte hai. Aapke niche aur related brand content ko share karke aap jyada traffic generate kar sakte hai. Aur apne business aur service ko easily promote kar sakte hai. Content marketing aap niche diye tariko se kar sakte hai.
- Blog posts
- Infographics
- Online brochures
- E-Books
- Whitepapper.
- Lookbooks
#7 Native Advertising
Native ads ek media advertisement hai. Isme jiss tarah ka content hoga ussi tarah ka ads bhi hota hai. Ye paid aur non paid dono tarike se hota hai. Sponsered posts aur buzz-feed native advertising ke non paid examples hai. Aur facebook advertisement aur instagram advertisement iske paid examples hai.
#8 Pay-Per-Click (PPC)
Pay per click (PPC) ek aisa method hai jo publishers ko per click pay karta hai. Aur har ek click par aapki site par traffic drive karta hai. Isse publishers ke sath sath aapko bhi bahut bada benefit milta hai. Aur aapka business jyada se jyada logo tak pahuchta hai. Aur jitna aap invest karte hai usse kahi jyada aapka promotion aur sale hoti hai. Pay-per-clik (PPC) Ka use aap niche diye most commons types ke through kar sakte hai.
- Google Adwords
- Facebook paid ads
- Sponsored twitter tweets
- Sponsored linkedin messages
- Blog Traffic Increase Karne Ke Most Popular Tarike
- On-Page SEO Kya Hai, Content Optimization Ki 12 Popular Tips
So friends ab aap samajh hi gaye honge ki digital marketing kya hai. Aur digital marketing ke kya kya benefits hai. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse share jarur kare. Aur agar aapka digital marketing se related koi sujhav ho to niche comment box me apna comment jarur kare.