Data Group Ka Use Kaise Kare Advance Excel Me
Dosto aaj mein aapko data group ke baarey me batane jaa raha hu. Excel me data group ka use kya hai aur ye kaise kaam karta hai iske baare me hum niche detail me janenge.
Agar aapke pass ek worksheet me data ki list ya table hai jisko aap summarize (sankshipt roop) karna chahte hai. To data group ka use kar sakte hai jisse ki aap total, subtotal ityadi dekh sakte hai.
Isme hum 8 level tak outline create kar sakte hai aur iske saath hi aap rowwise aur columnwise bhi outline create kar sakte hai. Chaliye dosto niche step by step example se dekhte hai ki kaise iska use hota hai.
Data Group Ka Use Kaise Kare Advance Excel Me
Step 1
Sabse pehle excel worksheet me ek list ya table tyar kar lijiye.For example niche image me dekh sakte hai. Ab me chahta hu ki student name aur total ke beech me jo subjects ke column hai vo hide ho jaye aur phir ek click se wapas bhi aa jaye.
Step 2
Student name aur total ke beech ke columns select kare.Group icon par click karke group tab par click karne se ye function active ho jayega.
- Advance Excel Me Remove Numeric Macro Ka Use Kaise Kare
- Advance Excel Me Insert Chart Function Ka use Kaise Kare
Step 3
Group function apply karne ke baad aapko columns ke upar right side me ek minus [-] ka oprion show hoga. Ispar click karne se subjects wale column hide ho jayenge aur student name ke sath unke total marks show karega. Jaisa ki step 4 me dekh sakte hai.
Step 4
Ab column ke upar jo plus [+] ka sign hai uspar click karne se sare subjects step 3 ki tarah phir se show ho jayenge.
Issi tarike se aap rowwise bhi group set kar sakte hai. Iske liye aapko rows ko select karke data group par click karna hoga, baaki sab vaise hi hoga.
Step 5
Agar aapko data group funtion hatana hai to sabhi columns ko select kare. Aur upar ungroup icon me ungroup tab par click kare.
Issi tarike se aap advance excel me data group aur data ungroup ka use kar sakte ho. Agar aapko ye jaankari acchhi lagi ho to isse share jarur kare. Aur kuch confusion ho to aap niche comment karke saval bhi puch sakte hai.