X

Data Goal Seek Ka Use Kaise Karte Hai Advance Excel Me

Hello friends, aaj mein aapko ms excel me data goal seek ke barey me batane jaa raha hu. Goal seek ka use total amount, rate per quantity or  quantity ko check karne ke liye karte hai. Aap chahe bank se loan le rahe ho ya market se kuch samaan purchase kar rahe ho. Data goal seek ki help se total amount, quantity aur rate per quantity ko easily seconds me check kar sakte hai.

For example aapne market se rs. 3000 me 10 products purchase kiye to per quantity kitni amount hai. Ya 300 ke according 10 chizo ka total amount kya hoga. Ya phir rs 300 per products ke according rs 3000 me kitne products aayege. Inn sabhi ka answer aap kuch hi seconds me nikal sakte hai.

 

Advance Excel Me Data Goal Seek Ka Use Kaise Karte Hai

Formula ka use karke bhi aap isko check kar sakte ho but data goal seek ki help se jaldi se result pata kar sakte hai. To chaliye step by step janate hai ki goal seek ka use kaise karte hai.

Step 1

Data goal seek ka use karne ke liye sabse pehle ek excel worksheet ko open kijiye. Aur niche diye example ke according ek table banaiye, for example:

Total Amount            3,000

Quantity                      10

Rate/quantity          300

 

 

 

Note: Total amount ki cell me “=quantity*rate” ka formula lagaye.

 

Step 2

Ab hume total amount ko badhakar ye check karna hai ki rate per quantity kya hogi.

  1. Total amount par cursor set kare.
  2. What-if Analysis tab par click kare.
  3. Goal Seek par click kare.

 

Step 3

Ab ek popup box open hoga. Isme aap total amount badhakar ye check kar sakte ho ki same rate me kitni quantity badhegi. Ya phir same quantity me kitne rate badhenge.

  1. Set cell me kuch nahi karna hai.
  2. To value me total amount ko badha ya ghata sakte hai. For example 3000 se badhakar 6000 kiya hai.
  3. By changing cell me quantity aur rate me se jisse change karna hai usse select kare. Agar aap rate ko select karenge to quantity same rahegi. Aur agar aap quantity select karte hai to rate same rangenge.
  4. Ok button par click kare.

 

Lijiye aap dekh sakte hai ki jaise hi humne total amount badhakar 6000 kiya to selection ke according rate bhi change hokar 600 ho gaya hai. Jiska matlab hai ki 6000 ki 10 cheeje me ek ka rate 600 hai, image dekhe.

 

Issi tarah se same quantity me change karke same process repeat kar sakte hai. Jisme rate same rahega lekin quantity change ho jayegi.

I hope aapko data goal seek se related ye post helpful lagi hogi. Agar phir bhi post se related kisi bhi tarah ka saval ho to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye article accha laga ho to isse social media par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

 

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)