Chitika Ads Se Online Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jane
Agar aapne abhi tak apni website nahi banayi hai to pehle free me apni website banaye, aur phir chitika ke liye apply kare.
Chitika Kya Hai aur Chitika Ad se Online Paise Kaise Kamaye
Chitika ek advertising site hai jo hame ads provide karti hai, jinhe hum apni website par lagate hai. chitika pay per click(PPC) par paisa deti hai, yani jab bhi visitors hamari site par visit karke ads par click karta hai to hamari earning hoti hai. Ek tarah se chitika apne ads dikhane ke liye hame commission deti hai, jo ki 10$ pure hone par hame milte hai.
Chitika Me Account Banakar Online Paise Kaise Kamaye
Chitika se paise kamane ke liye aapko sabse pehle apna account banana hoga, uske baad apni website par ek code milega jisse aapko apni website par lagana hoga. To Chaliye step by step dekhte hai ki chitika me apna account kaise banate hai.
??Google Adsense Account Kaise Banaye
Step 1
Sabse pehle Chitika website open kare aur “Click here to apply“ par click kare.
??Youtube Video Monetize Kaise Kare Aur Adsense Se Kaise Jode
Step 2
Ab jo form khulega usse bhare.
- Apni email daale. agar email nahi hai to pehle email id banaye.
- Go! ki button par click kare.
??Facebook Se Earning Kaise Kare
Step 3
Iske baad chitika aapko ek email bhejega, apni email open kare aur inbox me “Complete My Application” par click kare.
Step 4
Ab ek form open hoga isse sahi se bhare.
- Apna name bhare.
- Surname ya last name daale.
- Username chune.
- Apni website ka address daale.
- Password daale.
- Same password dubara daale.
- Apni country (India) select kare.
- Submit ki button dabaye.
Lijiye dosto aapka chitika account ka sign up complete ho chuka hai, ab 1 ya 2 din wait kare, kyuki chitika aproval me itna samay lag sakta hai.
Jaise hi chitika aapke account ko approved karegi to aapke email id par confirmation ka message aayega. Aur iske baad chitika code bhi milega, jisse aap apni website par laga sakte hai.
??Read More
Ab aap jaan chuke hai ki chitika account banakar paise kaise kamaye, yeh post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye.
Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par share karna na bhule.
1 – Kya chitka ads baad me hta skte hai jb AdSense apply krne se pahle.
2 – Kya YouTube pe use kr skte h iske ads.
chitika ads ko aap jab chahe tab hata sakte hai, aur youtube par chitika ads ko use nahi kar sakte kyuki video moinetize hone ke baad adsense khud apne according ads show karta hai.
Paise kaise milinge
paise chitika account me add honge uske baad usse apne bank account me transfer kar sakte hai.
एक बार क्लिक करने पर chutika कितने पैसे देती है कम से कम और ज्यादा से ज्यादा
ye aapki ads quality, impression aur cpm par depend karta hai, agar sab thik hai to aapko per click aprx 1.5 cents tak mil sakte hai
aapne Bahut badiya post likha hai.
Mai aapko ek sawal puchna chahta ho.
kya chitika sirf ads click hone par hi paisa deta hai?
Koi b ad network click hone par hi Paisa Deta h
Nice information thanks
Welcome
Thanks for help