TIKTOK

TikTok Account Hack Hai ya Nahi Kaise Check Kare | Check if Your Tiktok Hacked or Not

Tiktok account hack hai ya nahi kaise check kare aaj ki iss post me mein aapko bataunga. To agar aappko lagta hai ki koi other user bhi aapke tiktok account ka use kar raha hai to aap iss post me bataye tarike easily pata iska pata laga sakte hai.

Tiktok ek top video sharing site hai aur iss platform par karodo user apne videos upload karte hai. Aise me bhot se user yahase earning bhi kar rahe hai. Aise me aaye din logo ke account hacked ho jate hai ya fir koi other user bhi chupke se account use karte hai.

Aise me vo unknown user aapke tiktok account ka galat use kar sakta hai aur ho sakta hai ki aapke account ko puri tarike se hack kar le. Isliye aapko time to time apne tiktok account par ye setting check karte rehna chahiye. Iss tarike se easily uss unknown user ka pata karke time rehte usse log out kar sakte hai.

TikTok Account Hack Hai ya Nahi Kaise Check Kare | Check if Your Tiktok Hacked or Not

Apne tiktok account par ye pata lagana ki usse koi other unknow user to use nahi kar raha, bahut aasaan hai. Bus iske liye aapko niche diye gaye steps ko follow karna hai to chaliye start karte hai.

1 Sabse pehle apne Tiktok account me login kare.

2 Bottom right side me Profile icon par click kare.

3 Ab top right side me 3 dots par click kare.

4 Next interface me Manage my account par click kare.

5 Ab yahapar Security option par click kare.

Jaise hi aap security option par click karenge aapko yahapar your devices ke niche vo sabhi devices show ho jayenge. Jinpar aapka tiktok account logged in hoga.

Agar yahapar sirf aapka mobile number ya pc show kare to aapka tiktok account hack nahi hai vo safe hai. But agar apne device ke sath yahapar aapko koi unknown device bhi show hota hai to aap hacked hai.

Aise me aapko uss device par click karke remove karna hai aur logout karke dubara se login karna hai. Jiske baad aapka tiktok account puri tarah se safe ho jayega.

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki tiktok account hack hai ya nahi iska pata kaise karte hai. Jankari helpful lagi ho to iss social media sites par apne dosto ke sath share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.