How to know if someone blocked you on snapchat yani ki snapchat par aap blocked hai ya nahi kaise pata kare iss post me hum janenge so agar aap snapchat user hai aur snapchat pe block hone ka aapko doubt hai to iss post me jo trick mein aapko batane wala hu uske through aap easily ye check kar sakte hai ki aapke kisi friend ne aapko snapchat me block kar diya hai.
Snapchat par agar aapka koi friend aapko block kar deta hai to snapchat iska koi notification aapko nahi bhejta hai lekin kuch indications hai jinke through aap ye idea laga sakte hai ki samne wale ne aapko block kar diya hai, jaise ki jis friend par apko block karne ka doubt hai uske account ko agar aap search karenge to uska account search result me aapko show nahi hoga.
Iske alawa agar aap apni snapchat ki chat history open karenge to vahapar bhi block karne wale user ki chat aapko show nahi hogi ya fir aap apne other account se search karke check kare agar different account ke search result me vo user find ho jata hai to samajh lijiye ki aapko samne wale ne block kar diya hai.
Ye kuch indications hai jinse aap pata laga sakte hai ki samne wale aapko block kar diya hai lekin aisa network issue ya kisi or vajah se bhi ho sakta hai isliye inn tariko se aap sure nahi ho payenge ki aap blocked hi hai.
Lekin niche jo tarika mei aapko batane wala hu uske through aap 100% confirm ho jayenge ki aapke friend ne aapko block hi kar diya hai isliye agar aap sure hona chahte hai ki snapchat par aapko samne wale ne block kar diya hai to niche bataye easy steps ko follow kare.
- Snapchat Pe Apna Online Status Hide Kaise Kare
- Aapka Friend Snapchat par Online Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
Snapchat Par Aap Blocked Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare
1 Sabse pehle Snapchat open kare.
2 Iske baad bottom side me capture button ke left side me Message option par click kare.
3 Ab aapki chat list open ho jayegi to yahapar bottom right corner me Message circle par click kare.
4 Iske baad jo next interface open hoga isme Group create karna hai iske liye jiss friend par block karne ka doubt hai use select kare aur ek dusre friend ko bhi select kare kyuki ek contact ke sath group create nahi hota hai.
5 Dono contacts select karne ke baad aap group name enter kar lein aur bottom side me Chat with group option par click kare.
6 Iske baad group create ho jayega ab ab aapko group me koi bhi Message type karke send kar dena hai.
Message send karte hi agar aapko group ke top side me Failed to send ka message show hota hai to iska saaf matalab hai ki jiss friend pe aapko block karne ka doubt hai usne confirmly snapchat pe aapko block kar diya hai.
Iss tarah se aap easily check kar sakte hai ki snapchat par aapke kisi friend ne aapko block kar diya hai ya nahi.
I hope ab aap samajh gaye honge ki snapchat par aapko block kiya hai ya nahi iska pata kaise lagate hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
View Comments (1)
श्रीमान बहुत ही अच्छा आर्टिकल लिखा हैं आपने