Instagram account hack hai ya nahi kaise pata kare aaj ki iss post me hum janenge. To agar aap bhi facebook ki ownership wali social media app instagram ka use karte hai. To iss post ko dhyan se padhe aur jane ki kaise aap check kar sakte hai ki aapka insta account hacked hai ya nahi.
Instagram ek top photo video sharing sites hai jispar log apni photo aur videos publicly share karte hai. Aise me iss social media platform par karodo users active hai aur daily apni photo, video share karte rehte hai.
Iss platform ki popularity itni jyada hai ki aam se lekar khas byakti bhi instagram ka use karta hai. Aap iss platform par bade se bade celebrities ko bhi dekh sakte hai. Jo apni photos ya fir videos yahapar share karte hai.
Instagram ke karodo users ke beech kuch hackers bhi hai jo aaye din other instagram users ke accounts ko hack karne ki koshish karte rehte hai. Kai iss kaam me sucess bhi ho jate hai aur other users ke instagram accounts ko hack kar lete hai.
Aise me ho sakta hai ki aapka instagram account bhi kisi ne hack kar liya ho ya aapke alawa koi dusra bhi uska use kar raha ho. To aap kya karenge aur kaise pata lagayenge ki kahi aapka instagram account hack hai ya nahi.
Issi baat ko dhyan me rakhte huye aaj ki iss post me mein aapke sath ek aisi jankari share kar raha hu jiski help se aap easily pata laga sakte hai ki aapka instagram account safe hai ya hacked hai. Isliye iss video me bataye gaye steps ko follow kare aur jane apne instagram account ki security aur safety ke bare me.
- Instagram par Aapko Kisne Block Kiya Kaise Pata Kare
- Whatsapp Account Hack Hai ya Nahi kaise Pata Kare
Instagram Account Hack Hai ya Nahi Kaise Pata Kare – Check if Instagram Hacked or Not
Account instagram hacked hai ya nahi iss baat ka aap easily pata laga sakte hai. Kuch easy steps hai jo niche mein aapko bata raha hu. Aapko unhe follow karna hai jiske baad aap jaan sakte ho ki instagram account safe hai ya hacked, to chaliye start karte hai.
1 Sabse pehle apni Instagram app ko open kare aur login kar lijiye.
2 Ab bottom right side me apne Profile icon par click kare.
3 Ab top right side me 3 lines par click kare.
4 Iske baad kuch option aayenge to yahapar aapko bottom side me Settings par click karna hai.
5 Ab next interface me aapko Security ke option par click karna hai.
6 Security option me aapko Login activity ke option par click karna hai.
7 Aur login activity me aapko vo sabhi Devices show ho jayenge jinpar aapka instagram account logged in hai.
Agar aapko yahapar apne phone ya computer ke alawa koi dusra unknown device show hota hai. To iska matalab hai ki koi aur bhi hai jo aapke instagram account ko use kar raha hai. Usse apki har instagram activity ka pata chal raha hai.
Ab Kya Kare
Agar aapko login activity me koi other unknown device show hota hai to aapko uss device ke samne 3 dots par click karna hai.
Click karte hi bottom side me ek popup open hoga jisme uss device ki location map me show hogi. Yahipar bottom side me aapko logout ka optio show hoga.
Aapko log out ke option par click karke uss device se logout kar dena hai. Iske baad aapka instagram account puri tarah se safe ho jayega.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki instagram account hack hai ya nahi kaise check karte hai. Agar jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.