X
    Categories: BLOGGER

Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banaye In Hindi

Hello friends, aaj ke article me hum janenge ki blogger template ko mobile friendly kaise banate hai. Pichle post me humne jana ki blogger me free blog kaise banate hai. Blogger blog me new post kaise karte hai, aur template upload kaise karte hai . Aur blog banane ke baad kya kare ye bhi hum jaan gaye hai.

Lekin blog banane ke baad khas dhyan rakhna chahiye ki aapki site kitni responsive hai. Responsive site se mera matalab hai ki different media screen ke according site ka fast aur thik dhang se open hona. Site responsive nahi hogi to isse aapke visitors par bhi asar pad sakta hai, aur blog traffic bhi down ho sakti hai.

Jyadatar log internet ka use ab mobile par karne lage hai, aur blog par bhi sabse jyada traffic mobile phones se aata hai. Isliye aapki website mobile friendly honi chahiye, jo smart phone ya android mobile me fast open ho sake. Blogger blog ko mobile friendly banane ke liye kuch setting karni hogi, jo ki bahut hi aasani tarike se aap kar sakte hai. To chaliye ab aapka jyada samay naa lete huye janate hai ki Kaise blogger template ko mobile friendly banaya jata hai.

Note: Aapki site mobile frienly hai ya nahi ye janane ke liye yaha click kare.

Blogger Template Ko Mobile Friendly Kaise Banate Hai

Step 1

Sabse pehle apne blogger dashboard me login kare.

  1. Template par click kare.
  2. Mobile version ki setting icon par click kare.

 

Step 2

Ab ek popup window open hogi.

  1. Yes. Show mobile template on mobile devices ke tick box me tick kare.
  2. Choose mobile template dropdown par click kare.
  3. Inme se koi bhi ek mobile version template select kare. Sabhi ko ek ek karke select kare aur uska preview check kare. Jiss style me aapka blog mobile version sahi se show ho raha hai, usse select kare.
  4. Apne blog ke desktop version ko mobile friendly banane ke liye custom select kare.
  5. Save button par click kar dijiye.

Video Dekhe

Save button par click karte hi aapka blogger template mobile friendly set ho jayega. Chahe to ek baar mobile me blog open karke check kar sakte hai.

Dosto ab aap jaan gaye hai ki blogger template ko mobile friendly kaise banate hai. Fir bhi aapka iss post se related koi saval ya sujhav ho to apne comment ke through puchh sakte hai. Agar aapko ye jaankari helpful lage to isse social networking sites par share bhi jarur kare.

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (5)

  • sir mere blog par maine goyabi.com se free wali tamplate add karli hai, apne jaisa batay hai wo sab setting to kar liya hai, lekin ab problem yah ho rahi hai ki jab mai apna blog mobile pe open karta hu to usme comment box show nahi ho raha hai. iske liye kya setting karni hogi plz muze batayiye.

    • blogger dashboard > theme > edit html me jaye, aur ye code ]] find kare. ab niche diya gaya code copy kare aur ]] ke thik upar paste kare aur save theme par click kar dijiye, aapka kaam ho jayega.

      .mobile .blogger-iframe-colorize {
      display: block ;
      }
      .blogger-iframe-colorize {
      display: block ;}

    • Blogger dashboard me templates me jaye aur mobile version ko enable kar dijiye

  • Thanks for the wonderful post with full of userful information on the much-awaited topic, it really impressed me a lot. Waiting for more articles from you.

    TelecomVibe