Blogger Post Editor Me Keyboard Shortcut Keys Ki Jankari
Blogger post editor me keyboard shortcut keys kaun kaun se hai aaj iss post me mein aapko bataunga. Agar aap new blogger hai aur blogger post editor me keyboard shortcuts ke bare me janana chahte hai. To iss post me mein aapko post likte time use hone wale useful keyboard shortcuts keys ki jankari dunga. Jinke bare me aapko pata hona chahiye.
Blogger post editor me keyboard shortcuts keys ka use karke aap apna keemti samay save kar sakte hai. Inn shortcut keys se post likhne me aapko bahut help milegi. Aur aapka kaam aur bhi jaldi aur jyada easy ho jayega. To kaun kaunse hai ye blogpost keyboard shortcuts aaiye janate hai.
Blogger Post Editor Me Keyboard Shortcut Keys Ki Jankari
Post editor me kya kya keyboard shortcuts hai aur unka use karne se kya hota hai. Aaiye niche di gayi list ki help se samajhte hai.
Ctrl + A Post ko select all karne ke liye.
Ctrl + B Selected content ko bold karne ke liye.
Ctrl + C Copy selected text.
Ctrl + F Puri post me kuch find karne ke liye.
Ctrl + I Text ko italic mode me karne ke liye.
Ctrl + K Selected text me hyperlink add karne ke liye.
Ctrl + S Current post ko save karne ke liye.
Ctrl + U Selected contents me underline add karne ke liye.
Ctrl + V Copied text ko paste karne ke liye.
Ctrl + X Select kiye gaye text ko cut karne ke liye.
Ctrl + Y Undo ko redo karne ke liye.
Ctrl + Z Undo Karne Ke liye.
To ye hai blogger post editor ke top keyboard shortcuts. Jinki help se aap post ko aur bhi aasani se edit kar sakte hai. Aur apna kaafi time waste hone se bacha sakte hai.
I hope aapko blogger post editor me keyboard shortcuts ki ye jankari pasand aayi hogi. Post helpful lagi ho to isse share karna na bhule. Aur agar koi shortcuts key skip ho gayi ho to comment me jarur bataye.