X

Blogger Blog Me Twitter Widget Kaise Add Kare

Hello dosto, agar aap ek blogger hai to aapko social networking sites par bhi connect rehna padega, kyuki aisa karne se aapki blog ki traffic badhne me kafi help milegi. Blog ka traffic increase karne ke liye twitter ek bahut badhiya platform hai, isliye twitter widget ko apne blog me add jarur kare.

Aapne ye to jaan hi liya hai ki apne blog me facebook page like box kaise lagaye, aur facebook page banakar paise kaise kamaye, iske saath hi iss post me hum jaanege ki blogger me twitter widget kaise add kare.

Blogger Blog Me Twitter Widget Kaise Add Kare

Chaliye dosto aapka jyada samay na lete huye ab hum step by step janate hai ki blog me twitter widget add kaise karte hai.

??Twitter Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle apne twitter account me sign in kare.

  1. Apni profile image par click kare.
  2. Settings me jaye.
  3. Widgets par click kare.

 

??5 Minutes Me Twitter Follower Kaise Badhaye

Step 2

Ab next window me widget option open hoga.

 

  1. Create now button par click kare.
  2. List par click kare.

 

??Facebook Aur Twitter Ko Connect Kaise Kare

Step 3

Ab jo window open hogi, isme apne twitter account ka address dalna hai.

  1. Apna twitter profile ka link enter kare.
  2. Aero icon par click kare.

 

 

??Twitter Follow Request Ko Prevent Kaise Kare

Step 4

Iske baad next window me display option choose kare.

  1. Embedded timeline par click kare.
  2. Set customization options ke link par click click kare.

 

 

??Twitter Spam Followers Ko Kaise Remove Kare

Step 5

Ab ek form open hoga, isme apne twitter widget ka looks ki setting karni hai.

  1. Widget ki height set kare.
  2. Width set kare.
  3. Light or dark option choose kare.
  4. Twitter widget ke liye colour choose kare, ya default rehne dijiye.
  5. Isme automatic select kare.
  6. Update button par click kare.

 

??Blogger Blog Me About Author Kaise Add Kare

Step 6

Update button par click karte hi ek code generate hoga, isme copy code button par click kare.

 

??Blog Me Facebook Banner Kaise Add Kare

Step 7

Iske baad apne blogger dashboard me login kare.

  1. Layout par click kare.
  2. Add a Gadget ki link par click kare.

 

 

??Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Step 8

Ab ek popup window open hogi, isme HTML/JavaScript link par click kare.

 

 

??Blog Me Facebook Page Like Box Kaise Add Kare

Step 9

Iske bad ek aur popup open hoga.

  1. Box me twitter widget ka code paste kare.
  2. Save button par click kare.
  3. Finally save arrangement button par click kar dijiye.

 

Lijiye save arrangement button par click karte hi aapke blog par twitter feed apply ho jayega, aap niche image me dekh sakte hai ye kuch iss tarah dikhega.

 

Dosto twitter widget ke bare me ye post aapko kaisi lagi, comment karke jarur bataye, aur agar post pasand aayi ho to apne dosto ko social media par share karna na bhule.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)

  • hello sir ji

    twitter ke account me setting me widge ka option nhi a raha to kya kre

    • iske liye apne twitter profile page par jaye aur settings me jaye, yaha par left side menu me aapko widget tab mill jayega.