Blogger Me Free Blog Website Kaise Banaye
Blogger me free blog website kaise banaye iss post me hum janenge so agar aap apni knowledge ko share karne ke liye online free blog create karna chahte hai to aaj ki ye post aapke liye hi hai.
Agar aap khud ki website banane ke bare me soch rahe hai to ye kaam aap free aur paid dono hi tariko se kar sakte hai, lekin agar aap abhi start kar rahe hai to free website create karna hi aapke liye best option rahega.
Free blog create karne ke liye aap blogger ke sath sath wordpress platform ka use bhi kar sakte hai, wordpress par free blog kaise banaye iske bare me hum pahle hi jaan chuke hain filhal iss post me hum blogger me free website create karne ke bare me janenge.
Free Blog Banane Ke Liye Kya Chahiye
- Interest: Blogging start karne ke liye sabse pehle aapke khud ke interest ki jarurat padti hai, jiss topic/subject or niche me aapka interest hai ussi se related blog banaye aur jankari share kare.
- Gmail Account: Blogger me free blog create karne ke liye google gmail account hona chahiye kyuki gmail aur blogger dono hi google ke products hai aur gmail ke through hum blogger ko bhi access kar sakte hai.
- Computer/Laptop or Mobile: Blog or website ko easily maintain karne ke liye aur blog articles ko create aur manage karne ke computer or laptop ka hona ek better option hai lekin agar aapke paas computer ya laptop nahi hai to aap mobile se bhi blogging kar sakte hai.
- Better Internet Connection: Website ya blog ko aap without internet na to create kar sakte hai aur nahi hi manage kar sakte hai isliye internet ki requirement to hogi hi sath hi better internet connection ki vajah se aapka bloggin ka kaam kaafi fast bhi ho jayega.
- Internet Knowledge: Agar aapko internet ki jankari nahi hogi to aapke liye blogging karna thoda mushkil ho sakti hai, isliye aapko apni dusri knowledge ke sath sath internet ki bhi jankari honi chahiye.
Iske alawa bhi bahut si cheezo ki jarurat hoti hai jaise ki domain, hosting, theme or website ko professionally maintain karna lekin blogger platform par ye sabhi cheezen ek tarah se free hai.
- Blogger Post Me Search Description Kaise Add Kare
- Apne Blogger Blog Me Facebook Banner Kaise Add Kare
Blogger Me Free Blog Website Kaise Banaye
Blogger me free blog website banana bahut hi simple aur aasaan hai aap easily blogger me free website create kar sakte hai, iske liye niche diye gaye easy steps follow kare.
Step 1
Sabse pehle Blogger ki site open kare.
- Iske baad Create your blogoption par click kare.
Step 2
Iske baad google account me Sign in karne ka option aayega.
- Gmail id enter kare.
- Next option par click kare.
Step 3
Ab new blog create karne ka option aayega.
- Apne blog ka Name enter kare.
- Next option par click kare.
Step 4
Iske baad Blog address create karna hai, aisa address daale jo pehle se available na ho.
- Blog URL enter kare.
- Next option par click kare.
Step 5
Ab aapko Blog display name enter karna hai, ye display name aapke blog readers ko show hoga.
- Blog ka Display name enter kare.
- Iske baad finally Finish option par click kar dijiye.
Iske baad blogger me aapka free blogspot create ho jayega aur ab aap apni knowledge ko blogger platform ke through logon tak pahucha sakte hai alag alag articles share kar sakte hai,
New article create karne ke liye aapko New post option par click karna hai jiske baad blogger ka post editor open ho jayega jisme aap apni blogpost likhkar share kar sakte hai.
Aapke Blogger Blog Ka Address Kaisa Hoga
Maan lijiye dosto aapne apne blog ka link “xyz” diya hai to aapki link ka url kuch iss tarah hoga, xyz.blogspot.com iska matlab hua ki blogspot bhi laga hoga.
I hope, ab aap samajh gaye honge ki blogger me free blog kaise banate hai, agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.
sir bahut achha hai mene bhi banaya hai but usme bahut kamiya hai aap bata sakte hai usme niche credit link kaise remove kare Online Free Help
sabse pehle blogger dash board me jaye
template me edit HTML par click karna hai
ab jump page me footer par click kare
"powered by " se lekar gooyabi templates tak delete karna hai ko delete na kare aur save template par click karna hai
iske baad footer link delete ho jayega lekin ye sab karne se pehle apne template ka backup jarur le le.
Agli post me hum aapko iski poori detail me jaankari denge.
nice post
thanks
very very nice post sir ji thank you
plz kya aap bata sakte hai ki gooyabi templates ka credits bina redirection problem ke kaise nikaal sakte h hum ????
blogger me edit html me jaye aur copyright coding me iss tarah se link hoga
iss link ke beech me “style=’visibility: hidden’” ye code edit kar dijiye, ab ye kuch iss tarah se dikhai dega iske baad save templates par click kar dijiye, aapka kaam ho jayega.
Hello Bhai
Such a great and informative article thanks for sharing
welcome
Bahut accha post likha hai blog kya hota hai? aur kaise banate hai bhut hi details ke saath information share kiya hai dhwnayawad