X
    Categories: SEO

Blog Post Publish Karne Ke Baad Share Kaha Kare

Agar aap new blogger hai aur nahi janate ki blog post publish karne ke baad share kaha kare. To aap sahi jagah par hai kyuki iss post me mein aapko yahi batane wala hu. Jyadatar newby ko iski jankari nahi hoti ki jo post unhone publish ki hai usse share kaha kaha karna hai. Vo sirf 2-4 social networking sites par blog post share kar dete hai, jisse unhe jitna traffic milna chahiye vo nahi mil pata hai.

Blog par quality traffic increase karne ke liye jitna important quality post likhna hai. Utna hi important blog post ko promote karna bhi hai. Agar aap top social sites par blog post submit nahi karte hai to aap blog par kafi traffic miss kar sakte hai. Isliye blog post publish karne ke baad share kaha kare or promote kaise kare aaiye iss post me janate hai.

Blog Post Publish Karne Ke Baad Share Kaha Kare

 

1 # Facebook

Facebook ek top social networking site hai aur blog post promote karne ke liye ye ek better platform hai. Agar aapka facebook par account banaya hai to blog post publish karne ke baad ko yahapar bhi share kare. Facebook par aap apne blog se related facebook group aur fan page banakar post publish kar sakte hai. Mostly blogger aisa hi karte hai to agar aap ek new blogger hai to facebook par apne blog title ke name se group aur page create kare. Aur apni har blog post ko yahapar publish jarur kare. Facebook me aap apne dosto aur unke dosto tak apni post ko pahucha sakte hai. Kyuki jab koi user aapki post par like or comment karega to iski jaankari uske sabhi friends tak pahuch jayegi.

Facebook Group Par Share Kare

Facebook par apne site ke name se group create kijiye. Aur aapke jitne friends hai facebook par unn sabhi ko group me add kijiye. Yahi nahi friends ke friend ko bhi group join karne ko boliye. Aapke facebook group me jitne jyada members honge aapki post bhi utni jyada popular hogi. Aur jyada se jyada logo tak pahuchedi. Facebook group create karne ke baad apne blog sabhi post ko facebook group me share jarur kare.

Facebook Fan Page Par Share Kare

Facebook group banane ke sath hi facebook par fan page bhi create kare. Aur apni new blog post ko publish karne ke baad facebook page par bhi barabar share kare. Iske sath hi aap apne facebook page par likes increase karke earning bhi kar sakte hai. Isliye apne sabhi friends ko or unke friends ko facebook page like invitation send kar likes bhi badhaye.

 

2 # Google Plus

Facebook ke baad sabse jyada agar kisi social networking site ka use hota hai to vo hai google plus. Google plus ki help se aap apni blog post ko jyada se jyada logo tak pahucha sakte ho. Agar aapka blog blogger par hai to automatically aapki post blogger par share ho jati hai. Agar ye option enable nahi hai to aap blog post body ke niche share button ko bhi add kar sakte ho.

 

3 # Twitter

Facebook aur google plus ke sath blog post ko twitter par bhi share kare. Blog traffic increase karne ke liye twitter bhi ek bahut badhiya platform hai. Agar aap blogger ka use karte hai to twitter widget ko apne blog me add kar sakte ho. Aur easily apni blog post ko ek click me twitter par share kar sakte ho. Agar aapne facebook aur twitter ko ek sath connect kiya hai to jo post aap facebook par share karte hai to vo twitter par bhi share ho jati hai. Twitter par hum 140 character se jyada tweet nahi kar sakte hai. Agar aap 140 characters se jyada tall tweet post ke sath share karna chahte hai to ab aap vo bhi kar sakte ho.

 

4 # Youtube

Youtube par bhi aap apni blog post share kar sakte hai lekin iska tarika thoda different hai. Iske liye aapko sabse pehle youtube channel create karna hai. Iske baad apni har ek post ka video banakar usse apne channel par upload karna hoga. Isse aapko benefit ye hoga ki aap youtube se earning kar sakte ho. Youtube se earning karne ke liye aapko video monetize karke adsense se jodna hoga. Jiske baad youtube se aapki earning start ho jayegi aur sath hi blog post bhi promote ho jayegi.

Video banane ke liye aapko online bahut se software mil jayenge. For example filmora, window movie maker, camtasia video editing software etc, inme kuch software paid hote hai aur kuch free. Iske sath hi aap youtube se do follow backlink bhi generate kar sakte hai. Iski help se aap high quality traffic apne blog par pa sakte ho. 

 

5 # Pinterest

Blog post me use hone wali har ek image ko pin jarur kare kyuki isse blog traffic increase hoga. Facebook aur twitter ki tarah pinterest bhi ek social networking site hai, jahapar hum apni favourite photos aur images ko pin or share kar sakte hai. Google plus, facebook aur twitter ki tarah pinterest website bhi social network par popular hoti ja rahi hai.

Aur iss platform ka use lagbhag sabhi bloggers karte hai kyuki isse blog traffic increase hota hai. Pinterest par pinboard banakar aur images ko pin karke hum online save karke rakh sakte hai. Kyuki ye website ek free hosting website ki tarah hi kaam karti hai. Ye me aapko pichli post pinterest account kaise banaye aur kaise use kare me pehle hi bata chuka hu.

 

6 # Email Subscription

Email subscription se benefit ye hota hai ki jab bhi aap koi new post publish karte hai. To email subscribers ko iski jaankar email ke through mil jati hai. Jisse old visitors aapki site par aate hai aur site ka traffic lavel aur bhi jyada increase hota hai. Agar aap apne blog par high quality traffic pana chahte hai to apne blog ke liye feedburner feed banaye. Aur feedburner feed add kare, iske sath hi feedburner par email subscription ko enable bhi jarur kare. Agar subscribers ko email me full post show ho rahi hai. To feedburner feed me only post link summary show kaise karte hai iske bare me jaan sakte hai.

 

7 # Linkedin

Social networking sites me linkedin ek business or employment oriented site hai. Jisko hum pc aur mobile app me operate kar sakte hai. Iska main use professional networking ke liye kiya jata hai, for example job seeking ya employer posting job etc. Lekin bloggers bhi iss platform ka use apni blog post share karne ke liye karte hai. Isliye aap apni har ek post ko yahapar share jarur kare.

 

8 # Indiblogger Community

Hindi bloggers ke liye indiblogger community ek best platform hai apni blog post share karne ke liye. Kyuki indiblogger community par blog submit karke aap high quality backlink pa sakte hai. Indiblogger par aap apne blog ke liye off page seo generate kar sakte ho. Isliye apni har ek post ko indiblogger par share jarur kare. Agar aapke pass ek se jyada blog hai to aap apne another blog ko indiblogger par submit kar post share kar sakte hai.

 

9 # Tumblr

WordPress aur blogger ki tarah tumblr bhi ek popular blogging website hai. Blogger ki tarah tumblr bhi ek free service hai aap tumblr par free blog banakar use kar sakte hai. Tumblr ek microblogging site hai aap bhi apni har ek blog post publish karne ke baad iss platform par share kar sakte hai. Yaha se bhi aap apne blog par high quality traffic pa sakte hai.

 

10 # Stumbleupon

Stumbleupon bhi ek social networking site hai aur iss platform par aap apni har ek blog post ka page add kar sakte hai. Yahapar aapko alag alag categories milti hai jisme aap apni blog post ko add kar sakte hai. Pinterest par jiss tarah photos ya images add karte hai. Ussi prakar apne sabhi articles ko stumbleupon par submit kar sakte hai. Blog post publish karne ke baad stumbleupon par apni post se related category me article submit jarur kare.

 

11 # Webmaster Tools

Blog post publish karne ke baad sabhi webmaster tools me post ka url (weblink) submit jarur kare. Aap webmaster tool me apni post url submit karke apne blog ka search engine optimization (SEO) kar sakte hai. Aur blog par quality backlinks generate kar sakte hai. Iske sath hi aap blog ko top search me la sakte hai.

Isliye sabse pehle apni blog post ko google search console me submit kare. Isse google search ranking me aapki site ko top rank mil sakta hai. Aur google search me post jaldi index hoti hai. Iske baad bing webmaster tool aur yandex webmaster tool me bhi blog post ko submit jarur kare. Aisa karne se aapke blog ki search engine ranking aur bhi jyada increase hogi.

 

12 # Quara

Quara par aap logo ke question ka best answer dekar apni site ka traffic badha sakte hai. Kyuki quara ek online question aur answering site hai. Yahapar apni site ka link share jarur kare aur logo ke answer dete time apni website ka url bhi submit jarur kare. Aur yahapar apni post se related questions search kare aur unka best answer dene ki koshish kare. Aisa karne se aap blog par visitors ki sankhya aur bhi jyada badha sakte hai.

 

Blog post publish karne ke baad share kaha kare, hope aap samajh hi gaye honge. Iss tarah se aap blog post ko promote aur share kar sakte hai. Aur apne blog ki traffic rank aur bhi jyada increase kar sakte hai. Iss post se related aapka koi saval ho to comment box me comment jarur kare. Aur post helpfule lagi ho to isse share karna bilkul na bhule.

 

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (6)

  • bhut hi badhiya jankari ramesh ji. aap ki es post ko me follow jrur karunga

  • Hi sir
    Scoop.it me mujhe apne blog ki post publish karne nahi aarahi hai mene scoop without link par click karke post publish ki to publish to ho gayi lekin open nahi ho rahi hai jaise aapki post open ho rahi hai uske liye kis optin me jakar publish karna hoga thoda tips de sakte hai plz.

    • iske liye scoop it me login kijiye ab top left side me "paste a link to create a new scoop" ka ek box hoga isme apni post ka url paste kijiye aur box ke aage icon >> par click kijiye. ab aapki post ki ek popup window open hogi isme tags enter kare aur publish par click kar dijiye simple.