X
    Categories: INTERNET

BHIM App Kya Hai Aur BHIM App Ka Use Kaise Kare

Indian prime minister narendra modi ji ne friday 30 december ko BHIM name se ek mobile application launch ki hai. BHIM app se aap sidhe apne bank account se digital payment kar sakte hai. Cashless payment karne ke liye ye mobile app other payment method ya mobile apps se jyada secure aur fast hai.

BHIM app abhi do language (english/hindi) me launch hua hai. Aur jaldi hi next version me ye other languages ko bhi support karne lagega. Iss application ke through aap ek time par 10,000 rupees transfer kar sakte hai. Aur 24 hours me upto 20,000 rupees transactions kar sakte hai, to chaliye start karte hai.

BHIM App Kya Hai

Bharat interface for money (BHIM) ek mobile application hai. Isse national payments corporation of india (NPCI) ne banaya hai. Aur ye app united payment interface (UPI) method par kaam karti hai, jiski help se cashless payment kiya jata hai. Apne bank account se iss app ko connect karke aap kisi bhi account me paise dal sakte hai. Aur payment apne account me receive bhi kar sakte hai.

BHIM App Ko Download Or Install Kaise Kare

Bhim app ko abhi sirf android mobile me use kar sakte hai. Aur ye aplication android version 4.1.1 ya isse upar ke version par support kar raha hai. Aur jald hi ios phone users ke liye bhi ye application upgrade ki jayegi. To chaliye janate hai ki Bhim app ko download kaise aur kaha se karte hai.

Step 1

Sabse pehle apne android mobile phone me playstore open kare. Ab search box me Bhim app type kare, search result me BHIM app par click kare.

 

Step 2

Next window me BHIM app ko install karne ka option aayega, isme Intall button par click kare. Abhi ye application only 1.92 mb ki hai.

Install button par click karte hi app download hona start ho jayega. Aur kuch hi der me aapke android mobile me BHIM app install ho jayega.

 

BHIM App Ko Bank Account Se Kaise Jode

Mobile me bhim app install karne ke baad ab bari hai isme account setup karne ki. Bhim app ko bank account se kaise jodte hai, janane ke liye niche diye steps follow kare.

Step 1

Sabse pehle install kiya gaya BHIM app open kare. Ab jo mobile number aapke bank se connect hai, uski verification ke liye Next button par click kare.

 

Step 2

Iske baad aapko ek number code milega, iss code ko diye gaye number par send karna hai. Code send karne ke baad next window me apna passcode setup kar lijiye.

 

Step 3

Ab agli window me diye gaye bank ki list me se apna bank select karke next button par click kare.

Lijiye aapka bank account BHIM app se connect ho gaya hai. Ab badi aasani se aap cashless payment kar sakte hai.

 

BHIM App Ka Use Kaise Kare

Bhim app ko use karna bahut hi aasaan hai. Iss aap se easily paiso ka len den kar sakte hai. Bhim aap ko istemal karne ke liye sabse pehle isse open kijiye.

  1. Transfer money ke option se paiso ka len den kar sakte hai. Payment address Or mobile number se paise transfer kar sakte hai. QR code scan ke through bhi payment kar sakte hai.
  2. Transactions me paise ka len den ki puri jaankari dekh sakte hai. Aur pending transaction bhi check kar sakte hai.
  3. Profile me apna payment address check kar sakte hai. Aur dusra payment address ya mobile number bhi add kar sakte hai.
  4. Bank Account me aapki bank account ki connectivity check kar sakte hai. Aur bhim account me paise recharge kar sakte hai. Apna 4 digit ka passcode reset aur change kar sakte hai.

Note:- BHIM app ke liye mobile banking hong jaruri nahi hai. Sirf aapka mobile number bank se connect hona chahiye.

 

Kaun Kaun Se Bank B.H.I.M. App Ko Support Karte Hai

BHIM app ke through sidhe bank account se transaction karne ke liye niche di gayi bank name ki list me kisi ek bank me aapka account hona chahiye. Ye sabhi bank united payment interface (UPI) method ko support karte hai.

 

BHIM App Supported Bank Name List

  1. Allahabad Bank
  2. Andhra Bank
  3. Axis Bank
  4. Bank of Baroda
  5. Bank of Maharashtra
  6. Canara Bank
  7. Catholic Syrian Bank
  8. Central Bank of India
  9. DCB Bank
  10. Dena Bank
  11. Federal Bank
  12. HDFC Bank
  13. ICICI Bank
  14. IDBI Bank
  15. IDFC Bank
  16. Indian Bank
  17. Indian Overseas Bank
  18. IndusInd Bank
  19. Karnataka Bank
  20. Karur Vysya Bank
  21. Kotak Mahindra Bank
  22. Oriental Bank of Commerce
  23. Punjab National Bank
  24. RBL Bank
  25. South Indian Bank
  26. Standard Chartered Bank
  27. State Bank of India
  28. Syndicate Bank
  29. Union Bank of India
  30. United Bank of India
  31. Vijaya Bank

Demonetization ke baad prime minister ne iss application ko launch karte hue ek bahut hi accha step uthaya hai. Aur digital payment or transaction ko priority di hai. Aap iss app ko bejhijak istemal kar sakte hai.

I hope, bhim app kya hai aur iss app ka use kaise karte hai, aapki samajh me aa gaya hoga. Fir bhi aapka koi saval hai to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye article pasand aaya ho to social networking sites par share bhi jarur kare.

Ye Bhi Aapko Padhna Chahiye

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

View Comments (2)

    • bhim app install karne ke baad apne dosto aur janane walo ko bhi refferal code sent karke app download karwani hogi, aur jab log 3 transactions karenge to aapki earning hogi.