Affiliate marketing kya hai aaj ki iss post me mein aapko bataunga. Aur sath hi janenge ki affiliate marketing se paise kaise kamaye kama sakte hai. Online earning karne ke liye affiliate marketing best way hai. Bahut se bloggers adsense ke sath affiliate marketing bhi use karte hai. Aur iss affiliate marketing program se vo kafi acchi earning bhi kar rahe hai.
Internet par search karenge to aapko bahut si badi aur trusted affiliate marketing companies mil jayengi. Jo affiliate programs run karti hai. Aap kisi bhi popular company ke sath judkar affiliate marketing kar sakte hai. Aapko sirf online affiliate company me apna account create karna hai. Iske baad uss company ke products ko dusre logo ko promote karna hai.
Promote karne ke liye aap social networking sites jaise facebook, twitter, google+ etc ka use kar sakte ho. Agar aap blogging karte hai to aap apne blog par affiliate marketing kar sakte hai. Aur affiliate marketing program se products share karke acchi income generate kar sakte hai.
Affiliate Marketing Kya Hai
Agar aap nahi janate ki affiliate marketing kya hai to mein aapko bata du. Ki affiliate marketing other company ke products ko promote karke commission earn karne ka ek smart process hai. Iss process me products find kar promote aur dusre logo tak share karna hota hai. Jiske badle har ek sale me profit ka ek hissa aapko milta hai.
Affiliate Marketing Kya Hai Aur Isse Paise Kaise Kamaye
Bahut aise log hai jo online affiliate marketing program ko join kar lakho ki earning kar rahe hai. Agar aapka blog ya website hai. Ya fir aapke social media me acche follower hai. To aap bhi affiliate marketing program join karke online acchi khasi earning kar sakte hai.
Join Affiliate Program
Sabse pehle to aap kisi trusted site ka affiliate marketing program join kare. Agar aap google par search karenge to aapko bahut si companyo ke result show ho jayenge. Inme se kuch top affiliate marketing companies hai amazon, flipkart, snapdeal etc inko aap join kar sakte hai.
Affiliate Marketing Join Karne Ke Liye Kya Chahiye
Affiliate marketing ko join karne ke liye aapko uss perticular company ki site me apna account create karna hoga. Yahapar aapko kuch jaruri jankari fill karni hogi jo aapke paas honi chahiye. Jaise: ki-
- Name & address detail.
- Mobile Number.
- Email address.
- Pencard.
- Bank account detail or Online payment method.
- Blog or website.
Affiliate account create hone ke baad aap dashboard me total earning aur orders ki report check kar sakte hai.
Create Affiliate Link and Banners
Affiliate website par account create karne ke baad ab aapko kisi perticular product ka ads create karna hai. Product linking ke liye aapko site me affiliate link ya banner create karne ka option mil jayega.
Jiss product ko promote or share karna hai usse search kare. Ab product ke samne get link option par click kare. Ab aapke samne link or banner ka preview show hoga. Isse aap apne according modify kar sakte hai.
Banner me text and image choose kar sakte hai. Aur background color, title colour aur price color ko apne according change kar sakte hai. Saari setting hone ke baad ab aapko iska code show hoga. Uss product ke link/banner code ko copy kar lijiye. Bus aapko yahapar itna hi karna hai.
Share Affiliate Link on Your Blog or Social Sites
Affiliate link create aur copy karne ke baad ab aapko isse promote or share karna hai. Jaise ki maine aapko bataya. Ki affiliate product ko promote karne ke liye aap social media ki help le sakte hai. Agar aapka sabhi top social site par page hai. To aap product ke copied link ko unn sabhi sites me share kare.
Agar aapka blog ya website hai to apne blog par affiliate link ko promote kar sakte hai. Bahut se blogger ye sochte hai. Ki agar vo other site ke ads apne blog par use karenge to unka adsense account suspend ho jayega. Lekin aisa nahi hai aap adsense ads ke sath affiliate link bhi apne blog par use kar sakte hai.
I hope, aap samajh gaye honge ki affiliate marketing kya hai aur isse earning kaise karte hai. Agar aapka affiliate marketing se related koi sawal ho to comment me puch sakte hai. Aur agar ye jankari aapko acchi lagi ho to isse share bhi jarur kare.