End Screen Annotations Kaise Add Kare Youtube Videos Me
Youtube ki sabhi videos me end screen annotations kaise add karte hai aaj iss post me hum janenge. Youtube end screen annotations ka use karke aap apne channel par subscribers aur view counts encrease kar sakte hai. Agar aapka youtube channel hai aur usme regular video upload karte ho to end screen & annotations ka use jarur kare.
End Screen Annotations Kaise Add Kare Youtube Videos Me
Youtube videos me end screen annotations add karna bahut hi aasaan hai. Agar aap nahi janate hai to niche diye easy aur simple steps ko follow kare.
Step 1
Sabse pehle apne youtube account me login kare aur video manager me jaye. Aur jiss video me end screen annotations add karni hai usse select kare.
- Edit dropdown par click kare.
- Info & settings me jaye.
Step 2
Ab aap video ke setting page me pahuch jaoge yaha par End screen & Annotations par click kare.
Step 3
End screen & annotations me aapko add element par click karenge to aapko 4 option milenge jo iss prakar se hai.
- Video or Playlist me aap apne other videos ya videos ki playlist ko end screen par add kar sakte hai.
- Subscribe ki help video ke end me viewers ko channel subscribe karne ke liye option de sakte hai.
- Channel ki help se aap kisi dusre channel ko video ki end me add kar sakte ho.
- Link se kisi website ko video ke end me add karke promote kar sakte ho.
Sabse pehle video ke end scren me other videos ko add karne ke liye niche diye steps follow kare.
- Add element ke dropdown button par click kare.
- Video or playlist ke samne create button par click kare.
Step 4
Ab ek popup window open hogi isme aap end screen & annotations ke liye videos select kar sakte hai.
- Choose a video or playlist par tick kare.
- Upload videos ki list me se video select kare.
- Create element button par click kare.
Note: End screen & annotation me aap 4 videos hi add kar sakte hai. Isliye ek ek karke karke jo bhi videos aap add karna chahte hai usse select kare.
Step 5
Ab jo next page open hoga isme aap apne charo videos ki detail dekh sakte ho.
- Add kiye 4 videos ki list yaha par show hogi. Aap chahe to yahase remove bhi kar sakte ho.
- Yaha se end screen me videos ki length ko drag karke kam jyada kar sakte hai.
- End screen videos ka preview dekh sakte hai.
- Finally save button par click kar dijiye.
Step 6
Next option subscribe ki help se aap apne channel ko promote karne ke liye video ke end me subscription add kar sakte ho. Iske liye Create button par click kare.
Step 7
Create button par click karte hi aapke video ki end screen me subscription option on ho jayega. Iske sath kam se kam ek video karna hai otherwise ye add nahi hoga. Yahapar bhi aap iski length kam jyada kar sakte ho, preview dekh sakte ho aur finally save kar sakte hai.
Step 8
Next option channel ki help se aap kisi dusre channel ko add kar sakte ho aur usse promote kar sakte ho. Other channel ko promote karne ke liye create button par click kare.
Step 9
Ab ek popup window open hogi isme kisi bhi channel ko aap apne video ke end screen par add kar sakte ho.
- Channel ka user name ya url yaha par enter kare.
- Channel ke liye custom message set kare.
- Create element par click kare.
Step 10
Last option link ki help se aap kisi website ko video me add kar sakte ho. Iske liye enable button par click karke aage ke steps ko complete kare.
Issi tarah se aap youtube ki sabhi videos me end screen annotations add kar sakte hai. Aur apne channel ke subscribers kok increase kar sakte hai.
I hope, aapko youtube end screen annotations se related ye post acchi lagi hogi. Iss post se related agar aapka koi saval hai to comment karke jarur puche. Aur agar ye post helpful lage to isse social media par share bhi jarur kare.
GOOO KNOWLEDGE
thanks