X
    Categories: YOU TUBE

Youtube Channel Me Video Trailer Kaise Add Kare

Hello friends, pichli post me humne jana ki youtube channel kaise banate hai, aur youtube par video upload kaise karte hai, aur aaj iss tutorial me hum baat karenge ki youtube channel par video trailer kaise add kare.

Video trailer ki help se aap apne unsubscribed visitors ko youtube channel subscribe karne aur apne video ko like karne ke liye encourage kare.

Youtube channel par video trailer add karne se aapke visitors par accha asar to padta hi hai, sath hi visitors ko ye bhi pata chalega ki aapka channel kis bare me hai.

Youtube Channel Me Video Trailer Kaise Add Kare / How To Add Video Trailer On Youtube Channel

Sabse pehle apne channel ke bare me ek short description video banaye aur video ko youtube par publish kar de.

Ab video trailer publish karne ke baad isse youtube par add karne ke liye niche diye easy steps follow kare.

 

??Without Software Youtube Me Screen Record Kaise Kare 

Step 1

Sabse pehle youtube.com me login kare, aur my channel me jaye.

 

 

??Blog Post Me Youtube Video Kaise Add Kare

Step 2

Ab agle page me setting ke icon par click kare.

 

 

??Youtube Video Ko Monetize Karke Google Adsense Se Kaise Jode

Step 3

Setting icon par click karte hi ek channel settings ka popup khulega.

  1. Customize the layout of your channel ke samne click karke enable kare.
  2. Save button par click kare.

 

 

??Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare 

Step 4

Ab agle page me kaun se visitors ko trailer show karna hai, ye set kare.

  1. For new visitors par click kare.
  2. Channel Trailer button par click kare.

 

 

??Youtube Se Video Download Kaise Kare

Step 5

Ab aapke youtube video list ka ek popup open hoga, ab uss video ko chune jisme aapke channel ka short discription hai, aur save button par click kare.

 

 

Iss tarah se aap apne youtube channel ke liye short description trailer set kar sakte hai, agar koi proglem aaye to aap hume comment kar ke puch sakte hai.

Dosto post acchi lagi ho to isse social networking sites par share jarur kare, aur humara youtube channel ko subscribe karne ke liye yaha click kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More